It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here![]() |
Register Now! |
|
| ||||||||
| Notices |
| Basit poetry of Basit (Abdul Basit)...find poetry of HallaGulla Poet Basit..collection of urdu poetry of Basit.. |
![]() |
| | LinkBack (1) | Thread Tools |
|
#81
| ||||
| ||||
| ~**... Ik Qitta ...**~ Chaha jo, na paya hum nay.. Paya jo, sab khoya hum nay.. Gilla khizan rutoon ka kaisa Kata wohi jo boya hum nay |
| Sponsored Links |
|
#82
| ||||
| ||||
| ~**... 2 shair ...**~ Ik bay baal o par wajod us pay shakast ka jaal bhi.. Shahar mein tairay hai kaya koi hum sa bay'haal bhi.. Hum jagtay rahay har shab sung umeed e sehar kay Tareek rahoon mein youn guzar gaya yeah saal bhi.. |
|
#83
| ||||
| ||||
| ~**... Umar e Raigaan ...**~ ...Iss umar e rai'gaan ke musa'fatoon mein... ...Sab tairi Mohabbatoon kay silsalay hain... ...Gham e Furqat kam hoo tu hoo kaisay... ...Dasht e jaan mein kuch gul khillay hain... ...Hoi jab say juda lehroon say yeah hawa... ...Chak garaiban sarabon mein millay mein... ...Ufaq kay uss paar hai kam'maigi ka dar... ...Parvaaz say pehlay par jalnay lagay hain... ...Hai taiz hawa jung mein amawas raat hai... ...~Basit~ aisay mein safar pay chalay hain... |
| Sponsored Links |
|
#84
| ||||
| ||||
| ~**... Choor k sakhiyoon ko ...**~ Cho'hoor kay sukhiyoon ko kiyon jaa rahi hoo tum.. Aaisee hoi kaya baat jiss pay pachtaa rahi hoo tum.. Choti choti khushiyan hain aur chotay chotay gham Kiyon zara say dard ko itnaa barhaa rahi hoo tum.. Ma'an liya hoon gee majbooriya tum ko hazar magar.. Thaam kay haath dostee ka kiyon churaa rahi ho tum.. Da'y kay awaaz rook lain.. haq ye bhi na diya tum nay.. Yeah kaisi uljhaan mein daal kay jaa rahi hoo tum.. Virtuality mein millay hum reality ka qissa kaya chairain ******************** ******************** **** |
|
#85
| ||||
| ||||
| ~**... Aik Ghazal - Bay'Khwab ...**~ Amawas raat mein taray Bay'khawb rehtay hain Jo tum ko jeet kay haray bay'khawb rehtay hain Jab kacha ghara koi beech majhdar doob jata hai Darya kay paar kinaray Bay'Khawb rehtay hain Taiz hawain chalti hain jab sawan ghir kay aata hai Dar o divar ghar kay humaray Bay'khawb rehtay hain Mousam e gul mein tu sab meethi need sotay hain Par kuch kismat kay maray Bay'khwab rehtay hain Kachi umaroon mein khawb jin kay toot jatay hain Ban jaatay hain banjaray Bay'khawb rehtay hain |
|
#86
| ||||
| ||||
| ~**... Tunhai Ghar Looti ...**~ Jab bhi khawb puranay koi jawan hona lagata hain Aawargi lout aati hai wehshaton ke soghaat liyeah Yeah tu nahi jo baazi khailay hum haar gaaiye Haan jeet mili aksarhathoon mein maat liyeah Mein ussay jab bhi milta la'jawab kar daita tha Iss baar mili magar ajab woh sawalaat liyeah Nai subaah ke ahat pay sab deep bujha baitha tha... Yeah alag baat angan mein sehar utray phir raat liyeah.. Joo kuch milla gali kay bachoon mein baant ayee.. Tanhai ghar loutee hai faqat shakasta zaat liyeah. |
|
#87
| ||||
| ||||
| ~**... Yadoon Ke Soghaat ...**~ Sub'h kee deh'leez p'ay raat milli Jiss rah bhee chal'lay maat milli Tairi chah mein marnay waloon ko Faqat! kund yadon ke soghat milli |
|
#88
| ||||
| ||||
| ~**... Do Ashaar ...**~ Diloon mein paree yeah kaya dooriyaan hain.. Nazar chura rahay hoo kaya majboriyan hain.. Divar k us par rehtay ho barsoon nahi miltay.. Ho tum masrof tu mairi bhi kuch mazoriyan hain.. |
|
#89
| ||||
| ||||
| ~**... Aik Ghazal ...**~ Bay khawb ankhoon ko phir sarab dainay aaye hain..!! Baan kay maseeha naya koi azaab dainay aaye hain..!! Uthaay phirtay hain qutbay wafa kay mohabbat kay..!! Magar sawaal e dil ka kitabee jawab dainay aaye hain..!! Saajaa kay khud hee sab tamghay apnay seenay pay..!! Ahsaan Faramooshi kay hum ko alqaab dainay aaye hain..!! Kar kay qatal e anna, manaya jashan, kiya charaghaan..!! Mar gaya mein tu dar'guzer ka nisaab dainay aaye hain..!! Jalla dalaa ghar ka wohi goosha basta tha jiss mein mein..!! Aab janay kis lehaad ka bullawa janab dainay aaye hain..!! |
|
#90
| ||||
| ||||
| ~**... Bay'Khawb ...**~ Mairay tamaam khawboon ko..!! Uss nay saincha..!! Ussi nay thama howa tha..!! Kitnay rung bharay thai..!! Khawhishoon nay apnay..!! Kitnay deep jallay thai.. !! Ankhoon mein uski..!! Jab mein nay poocha tha..!! Muhabbat ke kabhi tum nay..!! Koi naam liya tha us nay..!! Jo maira nahi tha.. !! Uss ik naam mein.. Taqat kitni thi..!! Bay Khawb kar gaya mujh ko..!! Bay Jaan kar gaya mujh ko..!! |