It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Urdu Poet - Abdul Basit within the Basit forums, part of the Urdu Poetry by Poets of HallaGulla category; ~**... Jeenay Ke Tarqeeb ...**~ ...Bay'tarteebi mein Tarteeb Dhoond'tay hain... ...Jeenay Ke Koee Tarkeeb Dhoond'tay hain... ...Kahaan Say Aa gai ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#71
| |||||
| |||||
| ~**... Jeenay Ke Tarqeeb ...**~ ...Bay'tarteebi mein Tarteeb Dhoond'tay hain... ...Jeenay Ke Koee Tarkeeb Dhoond'tay hain... ...Kahaan Say Aa gai hain Zulmat Ke Ghatain... ...Hum Andhairoon Mein Naseeb Dhoondtay hain... ...Kar kay Ghayal Woh Bay'Chain Bohat Hain... ..Choor Kay mareez woh Tabeeb Dhoondtay hain... ...Un say bay'waafai ka Gilla Koyee Nahi Hai... ...Hum Tu faqat Apna Raqeeb Dhoondtay hain.. ...Sehra mein Woh Gulab Kay Phoool Jaisa Hoo.. ...Diyar e Ghair Mein Aisa Habib Dhoondtay Hain... |
|
#72
| |||||
| |||||
| ~**... Barsoon Ke Tashnagi ...**~ ...Mairi Khushi Mairi Zindagi Mukamal Hoo Jaye... ...Ik Tu millay Mairi Bandagi Mukamal Hoo Jaye... ...Jaa Raha Hoon Barh Kay Rook Loo Agar... ... Mairi Barsoon ke Tashnagi Mukamal Hoo Jaye... ...Milta Nahee Hai Wooh Jis Kee Talaash Hai.. ...Kaisay Mairi Awaargi Mukamal Hoo Jaye... ...Kab Say Hai Tofaan Dil Nagar Mein Char Soo.. ...Janay Kaya ho Jo Dil Lagi Mukamal Hoo Jaye... ...Milnay Lagi Hai Shehar mein Sab ko Ab Khayrat... ...Daikhiye Kab Mairi Shaguftagi Mukamal Ho Jaye.. |
|
#74
| |||||
| |||||
| ~**... Umeed Kay Diyeah ...**~ ...Howay Juda Aaisay Aab Miltaay Nahi Hain... ...Umeed Kay Diyeah Kion Bujhtay nahi Hain... ...Woh Tor Keh Ehad e Wafa Loug Gai Hain... ...Palkoon Pay Jamay Anso Kio Girtay nahi Hain... ...Koi Ashna Na Mil Jaye Kuch Pooch He na Lay... ...Iss Dar Say Hum Ghar Say Nikaltay Nahi Hain.. ...Oo'roon Ke Chah Mein Hai Ab Maira Kahan Hai... ...Woh Lab Ab Mairay Liyeah Khultay Nahi Hain.. ...Khiraaj e Mohabbat Diyeah Bina Chara Nahi Tha... ...Hum Jaisay Sakhat Jaan Youn Martay Nahi Hain... |
|
#75
| |||||
| |||||
| ~**... Khawb e Aaas ...**~ ...Wajah e Tark e Taluq Zindagi Dushwar hai... ...Tamana Jeet ke Aur Muqadar mein Har hai.. ...Ik Junbish e Lub bhi mushar na aye mujhay.. ...Uss pay Jeevan Bhe Dehak'ta Angar Hai... ...Kissi Karwat Sakoon Kaisay Milllay ga Mujhay.. ...Abhi Khaw e Aas Kaa Mujh Pay Khumar Hai... ...The Umeed e Visal So Paoon Say Rait Nikli... ...Fana Zaat Bhi Hoo Gi Han Yehi Intazar Hai.. ...Asaaish e Zindagi Ik Bhi Muyasar Nahi Magar... ...Bay'Saro samaan Basit Taira Talabgar Hai... |
|
#76
| |||||
| |||||
| ~**... Qatra Qatra Pighal Rahi Hai ...**~ ...Mohabbat Thi tumhain Kabhi mujh say, kaya aaj nahi hai ?.. ...Divaana kaya aaj tairi nafraat kay bhi qabil nahi hai ? .. ...Rut'jaggay barha liyeah issi hisaab mein hum nay... ...Mohabbat tum ko thee, nahee thee, hai, nahee hai... ...Ronaq e bazaar bana baitha hai, tu jo taroon ke chah mein.. ...Barha na mool itn'a yahaan koi sahib e afaaq nahi hai... ...Qatra Qatra Pighal Rahi Hai.. Jisam say Jaan Nikal Rahi hai.. ...Ghaana tha Pair kal joo... Aaj woh hee khara nahi hai... Aik adhoori ghazal say kuch na'mukamal ashaar.. ![]() |
|
#77
| |||||
| |||||
| ~**... Saraab e Mohabbat ...**~ ...Chund beeti yaddain mairay paas hain... ...Taroon bhari ratain mairay pass hain... ...Kabhi fursat millay tu mairay pass ana... ...Un'kahee kuch battain mairay pass hain... ...Sarab e Mohabbat ka hai itna hee silla.. ...Jetain tairay pass mattain mairay pass hain... ...Kaho tu khawbon say shamain abad kar doon.. ...Yehee chund soghattain mairay pass hain... ...Tum tu khushiyoon kay khareedar hoo... ...Aur Ahain he Ahain mairay pass hain.. |
|
#78
| |||||
| |||||
| ~**... Sarhanay Paray Khawab ...**~ ...Unchee Uraan'oon ka mujhay kuch tu silla dai... ...Aa mairay bazoo mairay par jalla dai... ...Phir tairi khushbo say kat'tnay laga badan... ...Kaisay koi sarhanay paray khawb sulla dai... ...Milli youn ik din baad'e saba sulagtay diyaar mein... ...Jaisay koi hanstay howay bachay ko rulla dai... ...Geeli lakri jaisay jalta nahi aur dhowan daita hoon... ...Jalaye koi mujhay ya mairay pattay mairay saya la dai... ...Bik raha hai ~Basit~ bolo koun khareeday gaa... ...Daam achay hoon jis kay awaaz laga dai... |
|
#79
| |||||
| |||||
| Chaloo Challain Asmaan Ko Daikhain Uthain Parday, Pen'haan Ko Daikhain Roz Daikhtay Hein Tamasha e Duniya Aaj Naye ik Jahaan Ko Daikhain Makhmali Bichoonay Pay Sonay Walay Gulastan Chorain Bayabaan Ko Daikhain Banatay hain Butt Mah'jabeenoon K Joo Kabhi tu Pathroon Kay Bayaaan Ko Daikhain Joo Dairoon Mein Baatay Ja Rahay Hain Bhala Kaisay Koun o Makaan Ko Daikhain Khawahish e Bahaar Mein Marnay Wallay Kabhi tu Hussan e Khizaan Ko Daikhain Us ke Mefil Janay Waloo Yeah Kehna Ik Nazar e Karam Yahaan Ko Daikhain.. Chaloo Basit Rakhat e Safar Say Pehlay.. Kamaya Hai Jo Uss Samaan Ko Daikhain Gunhaoon Ke Gathri Uthaee Naa Jayee.. Bhala Humsay Kaisay Wahan Ko Daikhain.. |
|
#80
| |||||
| |||||
| ~**... Chaloo Challain Asmaan Ko Daikhain ...**~ Chaloo Challain Asmaan Ko Daikhain Uthain Parday, Pen'haan Ko Daikhain Roz Daikhtay Hein Tamasha e Duniya Aaj Naye ik Jahaan Ko Daikhain Makhmali Bichoonay Pay Sonay Walay Gulastan Chorain Bayabaan Ko Daikhain Banatay hain Butt Mah'jabeenoon K Joo Kabhi tu Pathroon Kay Bayaaan Ko Daikhain Joo Dairoon Mein Baatay Ja Rahay Hain Bhala Kaisay Koun o Makaan Ko Daikhain Khawahish e Bahaar Mein Marnay Wallay Kabhi tu Hussan e Khizaan Ko Daikhain Us ke Mefil Janay Waloo Yeah Kehna Ik Nazar e Karam Yahaan Ko Daikhain.. Chaloo Basit Rakhat e Safar Say Pehlay.. Kamaya Hai Jo Uss Samaan Ko Daikhain Gunhaoon Ke Gathri Uthaee Naa Jayee.. Bhala Humsay Kaisay Wahan Ko Daikhain.. Last edited by Shokh; 10-06-2005 at 11:25 PM. |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| urdu, poet, abdul, basit |
| Thread Tools | |
| |
LinkBacks (?)
LinkBack to this Thread: http://www.hallagulla.com/urdu/basit-174/urdu-poet-abdul-basit-92105.html | ||||
| Posted By | For | Type | Date | |
| Shayri : Shayro ki Jaan -> ...Dil say Kadoorattain mitta kay millo... | This thread | Refback | 04-14-2008 05:08 PM | |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| Institute for Urdu Informatics By Dr. Attash Durrani | MehboobKhan | Information Technology | 0 | 02-29-2008 07:45 AM |
| Poet Of The Month.. (Abdul Hameed Adam)..!! | ~ Manahil ~ | Poetry on Demand | 38 | 12-30-2007 05:54 PM |
| Please Join me at UrduPoet.Net/Forum | WebMaster | Gup Shup | 0 | 10-11-2007 10:00 PM |