It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Urdu Poet - Abdul Basit within the Basit forums, part of the Urdu Poetry by Poets of HallaGulla category; ~**... Pay'Ghaam ...**~ ...Khoon say likha mairay maseeha ka salaam aya hai... ...Mousam e Gul Rung e Khizan say Hum'kalam ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [6] |
|
#41
| |||||
| |||||
| ~**... Pay'Ghaam ...**~ ...Khoon say likha mairay maseeha ka salaam aya hai... ...Mousam e Gul Rung e Khizan say Hum'kalam aya hai... ...Nung' o Aflas har taraf, Laho howa ghunchon ka rung... ...Kee saba nay Aah..! Tu Na'farmaani ka Ilzaam Aya hai... ...Phailee Bo barod ke Shehar K Har Gali Kochay mein Jab... ...Divanoon mein howa Jashan Aur Ruqs mein Jam Aya hai... ...Na'ra e Haq Lagatay Jo gaya tha Faseel e Shehar Tulak... ...Laasha Ussi Kam 'sin kaa Ghaar Sar'e Shaam Aya Hai... ...Chup Rahoo Kuch na Kaho.. Kamzoor hoo Sehtay Raho... ...Katay Kuch Saroon Sung Aywanoon say Paygham Aya hai... |
|
#42
| |||||
| |||||
| ~**... Nafratoon Ka Jaal ...**~ ...Visaal Ke Khawahish Pay Sood o Ziyaan Ka Khayaal Bhi Hai.. ...Tairi Chahat Mein Kahen Kahen Nafratoon Kaa Jaal Bhi Hai... ....Tairi Ankhoon mein Basay Khawb Apna Tu Loon Magar... ... Dil Ko Ab Khayal e Ashiaan Nahi Aur Mail e Zawaal Bhi Hai... ...Bhala Kaisay Koee Tujh Say Dil Ko Bachaa Kay Laaye.... ...Haseen Bhee Hai Bohaat Aaur Sahib e Kamaal Bhi Hai... ..Tairi Khaitee Bar Zarkhaiz .. Tu Baagh o Bhaar Bhi Hai... ...Mairay Shehar Para Qehaat Aur Barishoon Ka Qaal Bhi hai... ...Basit Kuch Kami Mujh Mein Hee Rahee Hoo Gee Warna... ...Warna Pardais Mein Kahan Koi Tujh sa Bay'haal Bhi Hai... |
|
#43
| |||||
| |||||
| ~**... Shairoon Ke Sourat ...**~ ...Kab Talak Khud Pay Jabar Karta Rahoon Ga... ...Mein Aap Apnay Aap Say Larta Rahoon Ga... ...Tairi Bay'Wafaiyon Ka Zulam Sehta Rahon Ga... ...Bay Raah o Manzil hee Chalta Rahoon Gaa... ...Tum tu Beech Raah Choor Kay Loot Gai Hoo... ...Mein Kab Talak Tairi Raah Tukta Rahoon Gaa.. ...Tum Oroon mein Khush Auroon mein Magan Ho.. ...Mein Tujh Mein Gum Taira Khawb Bunta Rahon Ga.. ...Tum Shairoon Ke Sourat Tum Khushbo e Hina Ho.. ...Mein Shairoon Ke Sourat Tumhain Likhta Rahon ga.. |
|
#44
| |||||
| |||||
| ~**... Humrahiyoon Ke Khabar Na Thi ...**~ ...Kuch naya tha maira safar, kuch manziloon ke khabar na thi... ...Bhatak gaya mein iss liye mujhay rahbaron ke khabar na thi... ...Lutt gaaya saab zaad'e raah, daman e dil bhee ujaar gaya... ...Lut'ta raha hansta raha.. mujhay sathiyoon ke khabar na thi... ...Qismat ko kaya doosh dain, ho dashat mein jab safar tamaam... ...Mein chal para tha bay'irada.. naye raastoon ke khabar na thi... ...Lugg kaay saahil saay youn maairi naaiyaa doob gaai akhir... ...Lehroon ka sab ilaam raaha... toofanoon ke khaabar na thi.. ...Karwaan e zindagi lutta kuch aisi bay'khabari mein ~Basit~... ...Reh'zanon ka sab khabar rahi hum'rahiyoon ke khabar na thi... |
|
#45
| |||||
| |||||
| ~**... Sung'e Manzil ...***~ ...Tasavaraat ke duniya ko ashkaar kar diya... ...Khud apna safar bharakta sharaar kar diya... ...Mohabbat ko rung e murawat mein dhaal kar... ...Milla jab bhi kuch aaur bay'qaraar kar diya... ...Mein nay paa kar khud hee thukra diya usay... ...Sung e manzil nay manzil ko sharamsar kar diya... ...Maray fitrat milta mein sab say payar say tha... ...Issi adaat ko uss nay wajah e haar kar diya... ...Kiya jab bhi irada tarak e ulfaat ka mein nay.. ...Muskura kay uss nay masroof e intazar kar diya... |
|
#46
| |||||
| |||||
| ~**... Bay'Faiz Zindagi ...**~ ...Karoo gai jitnay sitam seenay mein chupa loon ga... ...Mar jaoon ga par tujh ko mein apna bana loon ga... ...Gham kay badlay dai kay tamaam khushiyaan tujhay... ...Bay'Faiz zindagi saay kuch faiz tu kamma loon ga... ...Choor jana hai agar.. aapni yaddain day jaa mujhay... ...Kuch aur nahi tairay tasavar ke dunia bassa loon ga... ...Gar issi tasalsul say raha tairay sitaaam ka dhara... ...Mein waqaat say pehlay mout koo jaa loon ga... ...Sab lut chuka basit kuch haath na raha ab tu.... ...Millay ab nazar e inayaat tu kayaa paa loon ga .... |
|
#47
| |||||
| |||||
| ~**... Bheek Musaratoon Kee ...**~ ...Ye insaan kissi haal mein khush nahi... ...Ik ka zikar kaya sara jahan khush nahi... ...Kis nagar bheek musaratoon ke millay... ...Karvan choriyeah kon o makan khush nahi... ...Jaanay kis ke nazar lag gai hai inhain... ...Mairay shehar ka koi jawan khush nahi... ...Basar e zindagi ko pal rakhay hain ghum... ...Mein kaisay kahoon keh mein khush nahi... ...Kisi ja sakoon e dil muyasar nahi basit... ...Dasht tu dasht gulastaan khush nahi... |
|
#48
| |||||
| |||||
| ~**... Dil Say Kadorattain Mita Kay Millo ...**~ ...Dil say Kadoorattain mitta kay millo... ...Ik Doojay ko Appna banna kay millo... ...Kiyon zara se baat pay roothay ho tum... ...Beeti saab baattain bhulla kay millo... ...Kiyon faslay kam ho kay nahi daitay... ...Kabhi shak ke divaar girra kay millo... ...Khamiyan Kamzoriyan kis mein nahi hoten... ...Ik dojay ke khamiyaan apna kay millo... ...Go waqat beet jaye... lout aata nahi... ...Kabhi peetay samay mein jaa kay millo... ...Gar baat mairi samajh aa jaye ~Basit~... ...Iss Dil say dil ko milla kay millo.... |
|
#49
| |||||
|