It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Urdu Poet - Abdul Basit within the Basit forums, part of the Urdu Poetry by Poets of HallaGulla category; ~**... Tum Thai Ya Khawb Koi ...**~ ...Tum thai ya tha khawab koi... ...Daikha tha kaya saraab koi... ...Rahon ko ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#31
| |||||
| |||||
| ~**... Tum Thai Ya Khawb Koi ...**~ ...Tum thai ya tha khawab koi... ...Daikha tha kaya saraab koi... ...Rahon ko manzil kehnay walo... ...Aanay walla hai azaab koi.... ...Tujhay ishq say fursat na milli... ...Lay gaya jeenay ka nisab koi... ...Uss ka sawal he ajab tha warna... ...Na kar saka mujhay la'jawab koi... ...~Basit~ ab tu ghar ke rah pakar... ...Daina hai udhar bhi hisaab koi... |
|
#32
| |||||
| |||||
| ~**... Lagaoo Aag Nashayman Ko ...**~ ...Lagaoo aag nashay'man ko soochtay kaya hoo... ...Howa kaya haal e dil aab daikhtay kaya hoo... ...Umeed kay faraib mein rakhoo gai kab talak... ...Jab rasta badal daala tu phir palatay kaya hoo... ...Jalla kay khawb mairay haath kaasa thama diya... ...Milti hai ab khayraat kaya... poochtay kaya hoo... ...Masoomiyat kay labaday mein makar o faraib walo... ...Baat loot tu liya hai ab aur chaahtay kaya hoo... ...Mar jaoon ga tu sar dhun'na noohoon pay mairay... ...Abhi say shairoon ko mairay parhtay kaya hoo... |
|
#33
| |||||
| |||||
| ~**... Khushboo e Hina ...**~ ...Sarhanay paray khawb soo gai hain... ...Khooj mein khudi ke khoo gai hain.. ...Jo rooz mujhay khawb dikhatay thai... ...Akhir e kaar khud khawb hoo gai hain... ...Woh khushbo e hina say rachay haath... ...Angan mein mairay khar boo gai hain... ...Ban kay makeen jo aye ghar mein mairay... ...Utaarnay laggi thi jab raat tu gai hain.. ...Parstish kay qabil jo butt na ban saka... ...Toor kay ussay looug roo gai hain... |
|
#34
| |||||
| |||||
| ~**... Guzar Gaya Mousam e Gul ...**~ ...Guzar Gaya Mousam e Gul Ruka He Nahi... ...Bichar gaya jo Ik baar phir milla hee nahi... ...Sab nay kiya apnay toor gham ka ilaaj... ...Shoola e Taqdir kissi say bujha he nahi... ...Youn mairay sung raha apnay aap mein gum... ...Mein Gir para tha aur woh rukka he nahi... ...Bari Bay'nayaazi hai uss ke tabiyaat mein... ...Jala kay ghar kehta hai kuch jalla he nahi... ...Mein nay tamam umar uss pay Nisar ke... ...Hai Jis ka yeh dawaa mein jiya hee nahi... ...Gharoor e husan nay cheen le binaye uski... ...Hisaar e Zaat k Qaidi ko kuch dikhta he nahi... |
|
#35
| |||||
| |||||
| ~**...Dil Jalana Choor Dai ...**~ ...Dil Jalaana Choor Dai... ...Ashq bahana choor dai... ...Jo tungi'e dil ka saman karay... ...Aisa Fasaana Choor Dai... ...Jiss hansi say dukhay dil... ...Woh Muskurana choor dai.. ...Jo Rah barha dai faslay... ...Us Rah pay Jana chor dai... ...Dost Har Roz nahi Miltay... ...Inhain Aazmana choor dai... |
|
#36
| |||||
| |||||
| ~**... Darya Kay Uss Paar ...**~ ...Kaya mairi tarhaan tu bhi kabhi.. ...Ratoon ko uth uth rooya hai... ...Darya kay uss paar kabhi kaya... ...Koi khawab sohana booya hai... ...Onchi neechi lehron bech kaya... ...Koi apna paraaya khooya hai.. ...Sawan ke reh tuktay tuktay.... ...Kaya daman ko bhigooya hai... ...Oo Ishq ka dawa karnay wallay... ...Kaya kabhi khaar pay sooya hai... |
|
#37
| |||||
| |||||
| ~**... Kal Amawas Raat Mein ...**~ ...Chup kay khud say khudi ko dhoondta raha... ...Baad tairay aainay mein dukh dhoondta raha... ...Tairay khawb mairay paroon ko noochtay rahay... ...Shouq uranoon ka daasht mein reengta raha.. ...Tha kiss ka saaya sehan mein kal raat joo... ...Mohabbat kay kaachay ghaaray toor'ta raha... ...Barson mein bheegta raha barsaat mein tunha... ...Ban kay ajnabi apnay hee saye say milta raha.. ...~Basit~ kal amawas raat mein rooshni kay wastay... ...Na milla jab kuch tu khatoot tairay jalata raha... |
|
#38
| |||||
| |||||
| ~**... Manind e Shama ...**~ ...Go Pastiyoon mein Rawaan Rehta Hoon Mein... ...Haan Sar Bulandiyaan Kar Layta Hoon Mein... ...Mar Chuka hoon Gham e Zindagi Say Kab Ka... ...Haan Kehnay Ko Aab Talak Jeeta Hoon Mein... ...Mut Sikhlaoo Asloob e Zeest Mujh Ko Tum... ...Sab Haqeeqat Zindagi Ke Janta Hoon Mein.. ...Janay Kaya Junon Howa Jo Dar Pay Charh Aya.. ...Hein Bay'Taab Woh Aur Neehata Hoon Mein... ...Goo Manind e Shama Hoon Bazam Mein ~Basit~... ...Khush Apni Tunhaiyoon Mein Rehta Hoon Mein... |
|
#39
| |||||
| |||||
| ~**... Bay'Khawb Ankhoon Ko ...**~ ...Bay'khawb Ankhoon ko Woh Saraab Dainay Aye hain... ...Ban Kay Maseeha Naya Ik Azaab Dainay Aye hain... ...Utha'ye phirtay hain kutbay wafa kay, mohabbat kay... ...Aur sawaal e dil ka kitaabi jawab dainay aye hain... ...Saja kay tamghay apnay khud he apnay seenay pay... ...Ehsaan Faramooshi ka hum ko alqab dainay aye hain... ...Kar kay Qatal e Wafa, Manaya Jashan, Kiya Charaghan... ...Marnay laga mein tu dar'guzar ka nisaab dainay aye hain... ...Jala Dala Ghar ka wohi goosha bastay thai jis mein hum... ...Ab janay kis Lehad ka Bulawa janab dainay aye hain... |
|
#40
| |||||
| |||||
| ~**... Khawb howa Khawb Woh ...**~ ...Hoo faqa kashi naam jahan sabar o raza ka... ...Kaisay lay naam koi dastaar o qaba ka... ...Zubaan bandi hukam hai ameer e shehar ka... ...Dum ghut gaya aaj ik faqeer ke sada ka... ...Na'paid howay ehad o paymaan, bik gai ayman... ...Khawb howa khawb woh khushbo ka saba ka... ...Dasht mein basa hoon.. sarabon mein ghira hoon... ...Mohabbat ka hai silla yeah... Paygham hawa ka... ...Kuch sookhi shakhoon ko kaat girana parta hai... ...Masla jab aan para hoo shajar ke baqa ka... |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| urdu, poet, abdul, basit |
| Thread Tools | |
| |
LinkBacks (?)
LinkBack to this Thread: http://www.hallagulla.com/urdu/basit-174/urdu-poet-abdul-basit-92105.html | ||||
| Posted By | For | Type | Date | |
| Shayri : Shayro ki Jaan -> ...Dil say Kadoorattain mitta kay millo... | This thread | Refback | 04-14-2008 05:08 PM | |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| Institute for Urdu Informatics By Dr. Attash Durrani | MehboobKhan | Information Technology | 0 | 02-29-2008 07:45 AM |
| Poet Of The Month.. (Abdul Hameed Adam)..!! | ~ Manahil ~ | Poetry on Demand | 38 | 12-30-2007 05:54 PM |
| Please Join me at UrduPoet.Net/Forum | WebMaster | Gup Shup | 0 | 10-11-2007 10:00 PM |