It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Urdu Poet - Abdul Basit within the Basit forums, part of the Urdu Poetry by Poets of HallaGulla category; ~**... Jeet ...**~ Mairi Bay'basi Pay Hansti Mairay Chaak Garay'baan Pay Awazain Kasti Kabhi Koee Baat Karti Tu Mujhee Ko ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#21
| |||||
| |||||
| ~**... Jeet ...**~ Mairi Bay'basi Pay Hansti Mairay Chaak Garay'baan Pay Awazain Kasti Kabhi Koee Baat Karti Tu Mujhee Ko Maat Karti Kay Jaanti Nahi Chaak Garaybaan, Yeh Silsalay Bay'basi Kay Inaam hein, Tairi Chahtoon Kay.. Tujh Say Maat Mein Hee.. Mairi Jeet Thi.. Janaan..!! |
|
#22
| |||||
| |||||
| ~**... Lehrain ...**~ Lehrain ... !! Chandini Ke Chadar Oorhay.. Sahiloon Ke Sair Pay... Har Raat Ko Nikaltee Hain... Mujh Ko Tunha Choor Kay.. Wapis Loout Jaati Hain.. !! |
|
#23
| |||||
| |||||
| ~**... Yaddain ...**~ Tairi Yaddain... Parbatoon say Utar Gaiee hain.. Shoor Machati.. Andaikhay Rastoon pay Yadoon Kay Jazeeray Banati Mujh Ko Tunha Choor Gaiyee Hain... Samandar Kay Safar Pay Niklee Tairi Yadoon Ka Safaid Rung Waqat Kay Dharay mein Gadla Gaya Hai Aur Sar e Aaina Baitha Ik Udaas Panchi Kissi Khoye Howay Ke Yaad Mein Soo Gaya Hai...!! |
|
#24
| |||||
| |||||
| ~**... Tairi Mohabbat ...**~ Kinara Koi Rehay sada sung samandar laikin Lehroon ka kabhi hoo na saka Khawb Koi Khilla Jheel mein Kanwal Jaisay.. Lagay haseen bara laikin.. Kissi jooray mein saj na sakay.. Saraab Koi Nazroon mein rahay laikin.. Maira Kabhi hoo na sakay... Tairi Mohabbat..! |
|
#25
| |||||
| |||||
| ~**... Sahiloon Ke Lehroon Pay ...**~ Sahiloon Ke Lehroon Pay... Gaiee Saa'toon Kay Jazeeron say... Awaaz Aati Hai, Saans Ruk See Jati Hai... Ankhoon Kay Dareechoon Say.. Chashmay! Phoot Partay Hain.. Jazeeray Doob Jaatay Hain.. Lehrain! Shoor Machatee Hain.. Gharoonday! Girtay Jaatay Hain.. Sitaray! Toot Jaatay Hain.. Aur Tairay Naqash e Paa...!! Mit'tay Jaatay Hain... !! |
|
#26
| |||||
| |||||
| ~**... Mujhaye Howay Phooloon Ko ...**~ ...Murjhaye howay pholoon ko khiltay nahi daikha... ...Khawboon ko Haqeeqat mein khiltay nahi daikha... ...Ik baar joo gaiye tu kabhi lout kay nahi aayee... ...Mouj e Ishq ko phir hum nay uthay nahi daikha... ..Jis ko lagay zakham wohee dard ko jaanay... ...Kissi ko kissi kay gham mein martay nahi daikha... ...Jalawatanoon say na poocho kis haal mein hain... ...Kaya kabhi mahee e bay aab ko taraptay nahi daikha... ...Tum kehtay hoo tu phir shaad hee hoo gaa... ...Hum nay tu kabhi Basit ko hanstay nahi daikha... |
|
#27
| |||||
| |||||
| ~**... Dasht Ka Azaab ...**~ ...Saawal hai paar Isaay hum Jawab Likhtay hain... ...Khushguman issay khushbo ke kitab likhtay hain.. ...Mairay Yar Qatal e Wafa ko Kar e Sawab Likhtay hain... ...Khizaan Kay Chehray Ko Rung e Gulaab Lkhay hain... ....Tum ko Yeh Sahil See Lagay Tu Likh Loo Sahil.. . ...Kuch Musafir Magar iss Ko Saraab Likhtay Hain... ...TheTharTi Shamoon mein Yeah Sisakti Milti Hai.. ...Bunjaray Zindagi Ko Dashat Ka Azab Likhtay Hain... |
|
#28
| |||||
| |||||
| ~**... Dam e Akhir ...**~ ...Mehwar say hat'na gawara nahi hai... ...Milna aab tum ko doobara nahi hai ... ...Jhuk jayaain doosh e hawa urr jayain... ...Chalan Yeh kisi toor humara nahi hai... ...Inayattain apni sambhaal rakhoo tum... ...Dam e Akhir Shooq e Sahara nahi hai... ...Bay'sood hum nay sahil ke tamana ke... ...Ishq Ki Kismat mein Kinaara nahi hai... ...Dhoonda tamam umar mil kay nahi diya... ...Asmaan pay mairay naam ka tara nahi hai... |
|
#29
| |||||
| |||||
| ~**... Daa'im Abaad Taira Hijar Hai...**~ ...Aaye bin tairay Eid, daim abaad taira hijar hai... ...Bhali Mout Iss say.. aaisee azaab zindagi... ...Hai tairi tamana, tum ko panay kekhawahish... ...Reh gaya hai ab tu maira yeahi nisaab, zindagi... ...Kya hoi tairi khushi.. hansi kahaan pay khoo gai... ...Kiyon hai aaj kal udaas, day jawab zindagi... ...Tum jo nahi paas mairay.. din raat kat'tay nahi... ...Bin tairay kuch nahi mujhay lagti kharab zindagi... ...Lakh batain kehna chahon, tairay agay keh na paon... ... Kiyon jata hon behak.. tum sharab ya sharab zindagi.. |
|
#30
| |||||
| |||||
| ~**... Jabeen pay mairay Sajda e Buttan ...**~ ...Nazoon mein pali do jahanoon ke baat lay baithi... ...Woh Sahil pay khari toofanoon ke baat lay baithi.. ...Jana he na kabhi us nay mairay waja e gham ko... ...Bay'iraada he shaid dostanoon ke baat lay baithi... ...Sun kay qissa e shereen o farhaad woh bhi aaj... ...Chaak garaibanoon ke divanoon ke baat lay baithi... ...Chiree jab baat mehfil mein astanoon kee... ...Woh Saraboon ke Bay'banoon ke baat lay bithi... ...Daikh kay jabeen pay mairay sajda e buttan ~Basit~... ...Yeh duniya kufar ke asmanoon ke baat lay baithi... |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| urdu, poet, abdul, basit |
| Thread Tools | |
| |
LinkBacks (?)
LinkBack to this Thread: http://www.hallagulla.com/urdu/basit-174/urdu-poet-abdul-basit-92105.html | ||||
| Posted By | For | Type | Date | |
| Shayri : Shayro ki Jaan -> ...Dil say Kadoorattain mitta kay millo... | This thread | Refback | 04-14-2008 05:08 PM | |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| Institute for Urdu Informatics By Dr. Attash Durrani | MehboobKhan | Information Technology | 0 | 02-29-2008 07:45 AM |
| Poet Of The Month.. (Abdul Hameed Adam)..!! | ~ Manahil ~ | Poetry on Demand | 38 | 12-30-2007 05:54 PM |
| Please Join me at UrduPoet.Net/Forum | WebMaster | Gup Shup | 0 | 10-11-2007 10:00 PM |