It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Urdu Poet - Abdul Basit within the Basit forums, part of the Urdu Poetry by Poets of HallaGulla category; ~**... Pachtaye qatal e wafa karnay wallay ...**~ Khwab nagar mein jeenay wallay.. Yaad sarayee mein rehnay wallay.. Undaikhee raah ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#111
| |||||
| |||||
| ~**... Pachtaye qatal e wafa karnay wallay ...**~ Khwab nagar mein jeenay wallay.. Yaad sarayee mein rehnay wallay.. Undaikhee raah pay chalnay wallay.. Manzil ke aas pay khoonay wallay.. Khushbo see battain karnay wallay.. Batoon mein rung sa bharnay wallay.. Hontoon ko tabasum dainay wallay.. Ankhoon mein ansoo laanay wallay.. Senay mein dharkan sa basnay wallay Musaafir kabhee naa aanay wallay.. ~Basit~ ko nazron say giranay wallay Pachtaye qatal e wafa karnay wallay |
|
#112
| |||||
| |||||
~**... Mohabbat Karnay Wallay ...**~ ..Mohabbat karnay wallay bhi.. ..Baray ajeeb hootay hain.. ..Unhee khawboon pay hanstay hain.. ..Chahat say mohabbat say.. ..Jinhain tameer kartay hain.. ..Zara see thais lagnay pay.. ..Jo aksar toot jatay hain.. ..Woh aisay loug hotay hain.. ..Jo alla zarf rakhtay hain.. ..loug jab un pay hanstay.. ..Woh ansoon ko chupatay hain.. ..Unhain hansnay ke khawhish nay.. ..Dassa kuch aisa hoota hai.. ..Khushiyoon ko tarastay hain.. ..Hansnay say woh dartay hain.. ..Unkay tootay khawboon pay.. ..Loug jab mehfil mein hanstay hain.. ..Sung un kay yeah bhi hanstay hain.. ..Mohabbat pay hansnay waloo kaya.. ..Kabhi socha hai tum nay yeah.. ..Zamanay ke hansi ko youn.. ..Apnay khawboon pay hans daina... ..Kitna dushwar hoota hai.. ..Furqat ke zanjeeroon ko.. ..Shehnai sa baja daina.. ..Kathan kaam kitna hai.. ..Kabhi soocha hai tum nay kaya.. ..Mohabbat karnay wallay bhi.. ..Baray ajeeb hootay hain.. ..Unhee khawboon pay hanstay hain.. ..Chahat say mohabbat say.. ..Jinhain tameer kartay hain.. ..Zara see thais lagnay pay.. ..Jo aksar toot jatay hain.. |
|
#113
| |||||
| |||||
| ~**... Nafratoon Ka Shehar ...**~ Nafratoon ka shahar mairay liyeah hai Usay tazleel ke khawahish mairay liyeah hai Joo baat jeetay jee maar dalay insaan koo Woh baat humnawa ke khaas mairay liyeh hai Dostoon kay tanz, nashtar zehar bujhaay.. Takhtaa e mashaq, aaj mairay liyeah hai Jaanta hoon kuch bhi mairaa nahi magar.. Phirr bhee yeah zid sab mairay liyeah hai.. Ik tu hon mubtala e karb e khudi mein ~Basit Uss pay silsala e josh o junon bhi mairay liyeh hai Last edited by Shokh; 10-07-2005 at 07:49 PM. |
|
#114
| |||||
| |||||
| ~**... Dai'raay ...**~ Joo Dairoon Mein Baatay Ja Rahay Hain Bhala Kaisay Koun o Makaan Ko Daikhain Dairay go sab he gool hootay hain magar kam hee aik say hootay hain... Sara khail hee dairoon ka hai.. Zindagi bhi dairoon mein ghoomti hai... Chalti rehti hai rukti nahi hai .. Koi cheez aisi nahi hai jo harqat mein nahi hai.. Har cheez mein zindagi ka suraagh milta hai.. Zindagi ik say dusray mein dhaltee hai aur dosray say teesray mein.. Youn dairoon ka yeah silsalla chalta rehta hai... Iss lehaaz say duniya kissi re-cycling factory jaisi hee hai.. Aik dairay ke sourat mein hai.. Ghoomti bhi apnay dairay mein hai... Jis din dairay say bahir hooi.. Fana hoo jai gi.. Zindagi say bahir hoo jai gi.. (Sochta hoon fana hoi tu kahaan jaye gi.. ? Kaya naiyee ik zindagi mein dhal jaye gi.. ?) Har daira apnay andar aik duniya liyeah hota hai.. Jab iss midaar say nikalta hai tu khud ko khoo daita hai... Fana hoo jata hai.. Midaar kaya hai ik hisaar hai... Hisaar tu qaid hotay hain.. Hum khud ko magar azaad samajhtay hain.. Azaadi kaya hai.. ? Azadi ik chotay hisaar say nikaal kay nisbatun baray hisaar mein... Ya aik chotay dairay say nikaal kay baray dairay mein janay ka naam hai.. Aur issi ko hum shaid azadi samajhtay hain.. Magar yeah dairay yeah hisaar yeah qaid.. In say nijaat in say kaheen bahir hai.. Aikhri aur haqeeqi dairay mein.. Bilkul waisay hee jaisay aik beej khud ko fana karta hai tu... Kud avar phul daar darkhat banta hai.. Shaid waisay hee matee mein matee honay say pehlay koi konpal phooti.. Tu fana kay baad tum khud ko baqa ke chaoon mein daikh sakoo gai... Aur agar in dairoon kay hoo kay reh gaye tu shaid.. Tum kabhi mate mein milli mairi matee ko bhi na paa sakoo gai..!! Joo Dairoon Mein Baatay Ja Rahay Hain Bhala Kaisay Koun o Makaan Ko Daikhain |
|
#115
| |||||
| |||||
| Andhay Khawb Daikhta hoon Khud ko.. Sehra' e Hayaat mein.. Na manzil ka nishaan Na Rastoon ke khabar.. !! Bus.. Ta'had e Nazar Ik rait ka samandar.. !! Aur.. !! Talaah hai mujhay.. Seep kay Motiyoon kee..!! |
|
#116
| |||||
| |||||
| ~**... Jab Badal Garja Tha ...**~ Jab Badal garja tha.. !! Sawan Barsa tha.. !! Gali ke Nukar.. pay ik Bacha..!! Seham gaya tha Dar raha tha..!! Darwaazay tu sab bund paray thai..!! Haan khirkiyon mein kuch loug kharay thai..!! Barish ko acha kehnay wallay..!! Garm kamroon mein rehnay wallay..!! Jab Badal garja tha.. !! Sawan Barsa tha.. !! Barish ke pehli jab boond pari thi..!! kaheen ik nanhi kounpal phoot pari thi.. Door kaheen jab bijli giri thi..!! Ik hara shajar bhi tu jal bujha tha..!! Hawa mein kaisi wehshaat see thi..!! Woh bacha kaisay cheekh raha tha..!! Koi ghar nahi tha koi daar nahi tha..!! Jab Badal garja tha.. !! Sawan Barsa tha.. !! Jab hawa pay wehshaat taari thi.. !! Door kaheen ik jungle mein..!!! Haree bharee kuch bailoon mein..!! Kitni bhayaanak aag lagi thi..!! Sab kuch pal mein rakh howa tha..!! Gali mein ik bay'jaan jisam bheeg raha tha..!! Aur Sawan k divaon pay Masti ka Alam Tari tha..!! Jab Badal garja tha.. !! Sawan Barsa tha.. !! Gali ke Nukar.. pay ik Bacha..!! Seham gaya tha Dar raha tha..!! |
|
#117
| |||||
| |||||
| ~**... Chanda Mairay ...**~ Chaand mairay zara yeah tu bata.. Kiss kay liyeah udaas hai tum.. yeah daagh jo sajaye seenay pay youn baykal uthaye phirtay hoo. yaad ka souraj jo ankhon mein har shaam jalaye phirtay hoo.. youn taptay sehra mein akhir kab tuk.. saraboon kay aur bhagoo gai tum.. kion khawboon kay wahshee darya mein.. kachay gharay utaray hain.. kiyon laila laila kartay hoo kiyon majnoo ban kay phirtay ho.. woh door purana beet gaya.. jab heer ko ranjha milta tha.. aur sham dhalay kissi pair talay... asmaan say chand utarta tha.. kiyon beetay waqt mein jeetay hoo.. Kiyon guzri baat pay rootay hoo.. Woh shakhs jo sahil kinara tha Woh shakhs kabhi jo mil na saka.. woh shakhs tu ik banjara tha.. Kiyon sawan aas lagayee tum nay.. Kiyon itni payaas barhaye tum nay..!! Jo tairay dil ko bhaya tha.. Woh sayaa tha... Woh sayaa tha.. Naa sawan tha.. Naa sagar tha.. Woh badal ik awara tha.. Chaan mairay zara yeah tu bata.. Kiss kay liyeah udaas hai tum.. Last edited by Shokh; 10-07-2005 at 07:50 PM. |
|
#118
| |||||
| |||||
| ~**... Dashat Kay Musafir ...**~ Khushi dhoondtay rahay Gham noochtay rahay Dashat kay musafir Raah bhooltay rahay Se'har e sara'ab mein Hum doortay rahay Khawb buntay rahay.. Aurr ujartay rahay.. Sayah thee rattain.. Jugno martay rahay.. Sitara e Sehar ko.. Saaye rootay rahay.. Angan mein humaray.. Khaar ugtaay rahay Muqaam e zabat pay Qadam dooltay rahay Doob gaie paymaan.. Sahil sochtay rahay.. Lehron sung gharonday Darya ujar'tay rahay.. Woh boolta na tha.. Loug poochtay rahay.. Gehra tha bohat gham Ashk sookhtay rahay.. Khushi dhoondtay rahay Gham noochtay rahay Dashat kay musafir Raah bhooltay rahay |