It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Urdu Poet - Abdul Basit within the Basit forums, part of the Urdu Poetry by Poets of HallaGulla category; ~**...Sunoo...**~ ..Sunoo.. ..Bahaar aa rahi hai.. ..Shaakh e gul jhuki jaa rahi hai... ..Raat chandini muskura rahi hai... ..Divaar dhay ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [2] |
|
#101
| |||||
| |||||
| ~**...Sunoo...**~ ..Sunoo.. ..Bahaar aa rahi hai.. ..Shaakh e gul jhuki jaa rahi hai... ..Raat chandini muskura rahi hai... ..Divaar dhay gaee thi jo aandhi mein.. ..Aao ussay tameer kartay hain.. ..Zakhmoon ko bhool jatay hain.. ..Hathoon mein haath dal kay.. ..Phir say muskuraatay hain.. ..Pichlee saree batoon ko.. ..Aaj say bhool jaatay hain.. ..Sunoo... ..Bahaar aa rahi hai.. ..Aao khushi kay geet gaatay hain.. ..Baat ghaam ke chupaatay hain.. ..Woh sapna jo sanjhay daikha tha.. ..Jo toot kay ankh mein bikhra tha.. ..Kirchiyaan Uss ke chuntay hain.... ..Aik naya kahwb bun'tay hain.. ..Hathoon mein haath dal kay.. ..Phir say muskuraatay hain.. ..Pichlee saree batoon ko.. ..Aaj say bhool jaatay hain.. ..Sunoo... ..Bahaar aa rahi hai.. ..Lawn mein ugee narm ghaas pay.. ..Pichlee shab say jami baraf koo.. ..February ke iss sunahree subah mein.. ..Mohabbat ke naraam dhoop mein.. ..Pighal janay daitay hain.. ..Guloon ko khilnay daitay hain.. ..Hathoon mein haath dal kay.. ..Phir say muskuraatay hain.. ..Pichlee saree batoon ko.. ..Aaj say bhool jaatay hain.. ..Daikhoo... ..Bahaar aa gaiee hai.. |
|
#102
| |||||
| |||||
| ~**... Yar jo jal mat kay bichaye howay hain ...**~ ...Shaab e hijar mein dar o divaar hum nay... Tairee tasveer say sujaaye howay hain.. Tairay qurb k daikhay thai khawb jitnay.. Aakhiyon mein ab tuk basaye howay hain.. Tu aur sung, mein tairay khayal sung khush.. Youn roz o shab apnay behlaye howay hain.. Us pari sourat ney diyeah thai ghaoo jitnay Mata e jaan thai senay lagaye howay hain Paa laina kuch aaisa muhkil nahi magar Anna nay mairay par jallaye howay hain.. Lakh chahon bhi tu kaisay jeet sakta hoon Yaar jo jaal maat ka bichaaye howay hain.. Surmayee shamon ho tu machal jata hai dil.. Diyeah aas k magar ab bujhay howay hain.. |
|
#103
| |||||
| |||||
| ~**... Unkahee ...**~ Kitni battain unkahee raheen...!! Kitnay jazbay dhool howay...!! Woh Mo'atar khayal taira...!! Sansoon mein jo mehaka tha...!! Ik umar hoi usske ahaat sunay...!! Woh khawb sunehri...!! Jeenay ke jis say aas bandhi thi..!! Tairi kaj adaiyoon kay saye mein..!! Kissi lamha e na'rasayee mein..!! Beh gaya hai..!! Darya kay uss paar utar gai hai..!! Kisskadar gehra hai yeah darya...!! Maira kacha ghara bhi toot chuka hai..!! Tumharay ikhtiyaar mein hai ab tu..!! Daboo do Mujh ko...!! Ya mairay khawb louta doo..!! |
|
#104
| |||||
| |||||
| ~**... 3 Ash'aar ...**~ Dil haay bay' sabaab udaas rehtaa hai.. Mousam e gul mein mehway yaas rehta hai.. Sehar hootay hee dum toor daita hai.. Sitara e safar ko safar e shab raas rehta hai.. Lug k kinaron say dob jatay hain safenay .. Goya tofan sahilon kay paas rehtaa hai.. |
|
#105
| |||||
| |||||
| ~**... Aik Ghazal... **~ ...Qaasa e zeest liyeah phirtaay thai shehaar mein dar baadar... ...Uss naay tu Aaa kaay damaan hee bhar diya hum Faqeeroon ka... ...Manzil nahi koi rah nahi, ik khawb hai tashna saraboon mein... ...Aur chah mein uski chaltay rehna, maksad hum RahGeeroon ka... ...Kitni hee taiz dhaar ho, chahay kitnay he sar tah e taigh karay... ...Akhir sar jhuk jata hai nook e qalam kay agay shamsheroon ka... ...Naa hans khastaa haali paay, Naa humko itnaa kamzor tu jan.. ...Hum hein wohi badaltay thai rukh jo qomoon ke taqderoon ka... ...Aas kay diyeah ke loo thara kay bujh gai, pathra gai ankhain.. ...Aaa jaa kay aab tu rung bhi urta jaata hai tairi Tasveeroon ka... Poet: Basit Habib |
|
#106
| |||||
| |||||
| ~**...Kitnay baras beet gai hain...**~ !!..Kitnay bars beet gai hain..!! !!..Uss ke aahat sunnay howay..!! !!..Kaya kaya hum bhool gai hain..!! !!..Phool say jazbay dhool howay hain..!! !!..Woh Jheel se gehri ankhoon uski..!! !!..Jis mein khawb ik sanjha tha..!! !!..Jeenay ke jis say aas bandhi thi..!! !!..Rawaaj ke kali andhi mein..!! !!..Darya paar kaheen jaa gira tha..!! !!..Tab say baitha soch raha hoon..!! !!..Kitna gehra hai yeah darya..!! !!..Kacha ghara bhi toot chuka hai..!! !!..Aab naoo banaye koun par utray..!! !!..Aab tuk tu woh sab bhool gaya hai..!! !!..Maira jee bhi behaal raha hai..!! !!..Phir kiyon dard sajaoon seenay pay..!! !!..Itnay baras barbaad howay..!! !!..Chand lamhoon ke mohlat baki hai..!! !!..Kiyon na inhain abaad karoon..!! |
|
#107
| |||||
| |||||
| ~**... Zindagi ...**~ Sawaal hai magar iss ko hum jawaab likhtay hain.. Khush guma'an isay khushbo ke kitaab likhtay hain.. Miaray yaar qatal e wafa ko kar e sawab likhtay hain.. Kizaan kay chahray ko rung e gulaab likhtay hain.. Tum koo yeah sahil see lagaay tu likh loo sahil.. Kuch musafir magar iss ko saraab likhtay hain.. Kabhe khushiyoon ko khoojtay hain iss mein.. Kabhi khud issay gham ka nisaab likhtay hain.. Thitharti shamon mein sarkon pay sisktee milti hay... Bunjaaray Zindagi ko dasht ka azaab likhtay hain.. |
|
#108
| |||||
| |||||
| ~**... Ik Adhoori Nazam ...**~ Aaa tujh koo tairee neendain loutata hoon.. Kaahani Ik paree souraat ke sunata hoon.. Hussan us sa kissi nay kabhi daikha nahi tha.. Naam aisa jo kissi nay kabhi sunna nahi tha.. Pichlay baras ik shaam mein yaheen pay milli thi.. Dard ankhoon mein tha hansi hoontoon pay khili thi.. Chupaa rahi thi jitna ayaaan hoo rahi thi utna khamoosh rahi woh jitna bayaan hoo gai thi utna Pehroon baith kay un kahee kehtay rahay hum udh'ray khawboon ko baithay buntay rahay hum Baloor ankhoon mein uski aks apna tukta raha mein kuch mooti jo gir rahay thai... chunta raha mein.. ik lamhay mein sadiyaan beeta dee theen hum nay bujh gai thi aag jiss ko hawaa dee theen hum nay.. tumhari tarhaan woh bhi mohabbat ke pujaran rahi thi majboor magar woh bhi rawajoon kay karan rahi thi.. kabhi us nay bhi kitaboon mein gulaab rakhay thai palkoon pay kissi shakhaas kay khawb rakhay thai.. par lamhay sarsharee kay sada kab jawaan rehtay hain divanay magar kuch kis kadar khush gumaan rehtay hain mousam e gul ko akhir e kaar khizaaan lay jaati hai.. hawa khusboo ko urra kay bayabaaan lay jaati hai.. |