It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Urdu Poet - Abdul Basit within the Basit forums, part of the Urdu Poetry by Poets of HallaGulla category; ~**... Bay'samar Khawahishain ...**~ Bay samar khawahishoon k asar mein rehtay hain Kuch loug hasratoon k bhanwar mein rehtay hain ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#91
| |||||
| |||||
| ~**... Bay'samar Khawahishain ...**~ Bay samar khawahishoon k asar mein rehtay hain Kuch loug hasratoon k bhanwar mein rehtay hain Viraan rastoon pay tunhaa shaksta chand kay sung Tamaam raat aap humaree nazar mein rehtay hain Kitnay he kathin din guzar jayain pardais mein magar Dais mein sab acha hai ke khabar mein rehtay hain Aur loug hain jo ghabra kay soo jatay hain sar e sham Hum Amawas raat mein bhi aas e sehar mein rehtay hain Ishq ke manzil rahoon mein urtee dhool hoti hai.. Iss rah kay musafir dhoop kay ghar mein rehtay hain Kaya samjhain gai dashaat ke musafat ka azaab Yeah loug jo sada saaya e shajar mein rehtay hain Basit nay tamaam umar sehra ke khaak chaani hai Aab tu bhool gaya kis dhab shahar mein rehtay hain |
|
#92
| |||||
| |||||
| ~**... Seekhay Koi Tujh Say ...**~ Rehnaa chaahat daiss aaur nafraatoon kee baat karna.. Seekhay koee tujh saay raqaabatoon kee baat karna.. Mana haq baat karna jurm hai tairaay shahar mein magar.. Yeah kaya kay ik aah! pay hee riva'yatoon ke baat karna.. Sab he tairay turaafdaar, Saab hee tairay parastar yahaan Hum say hee na aye kisi ko mohabbatoon ke baat karna.. Kar rahay hain apnay mufad ke baat mukar o faraib walay.. Koee in ko sikha dai kabhee Haqeeqatoon ke baat karna.. Ik hansi ke khawahish pay tu nay jis ke dus'taar jallaee hai Aab kabhi na uss say muskarahatoon kee baat karna..!! |
|
#93
| |||||
| |||||
| ~**... Kuch Ash'aar ...**~ Qaasa e zeest liyeah phirtaay thai shehaar mein dar baadar... Uss naay tu Aaa kaay damaan hee bhar diya hum Faqeeroon ka... Manzil nahi koi rah nahi, ik khawb hai tashna saraboon mein... Aur chah mein uski chaltay rehna, maksad hum RahGeeroon ka... Kitni hee taiz dhaar ho, chahay kitnay he sar tah e taigh karay... Akhir sar jhuk jata hai nook e qalam kay agay shamsheroon ka... Naa hans khastaa haali paay, Naa humko itnaa kamzor tu jan.. Hum hein wohi badaltay thai rukh jo qomoon ke taqderoon ka... Aas kay diyeah ke loo thara kay bujh gai, pathra gai ankhain.. Aaa jaa kay aab tu rung bhi urta jaata hai tairi Tasveeroon ka... |
|
#94
| |||||
| |||||
| ~**... Aik Ghazal - Ehsaas ...**~ Hoon saafar mein yaa qayaam hoo hoota taira ehsaas hai.. Zahan mein ik gullaab sa khillaa rehtaa tairaa ehsaas hai.. Sard hawa mein pighlay kabhi kari dhoop mein sanwar jaye.. Kabhi tunhai mein mairi ban k khawb utarta taira ahsas hai.. Har shab mairay angan mein chandini saa phail jata hai Aur sahar hotay he souraj sa taloo hoota taira ahsaas hai.. Daiyaar e ghair ke surmayee udaas shamoon mein aksar.. Darya kinaray meeloon mairay sung chalta taira ahsaas hai.. Loug kehtay hain Basit khud say battain karta phirta hai.. Nahi woh daikh saktay mujhsay baatain karta taira ahsaas hai.. |
|
#95
| |||||
| |||||
| ~**... Woh Jab Aati Hai ...**~ Woh jab aati hai tu sha'haar mein bahaar laati hai.. Khushboo kay ruth pay hoo kay sawaar aati hai.. Rungat us ke aisee dhanak rung pheeka lagta hai.. Aoor haansay tu ik duniyaa sung muskaraati hai... Hathoon mein para kungan nashay mein choor rehta hai Kanoon ke baali galoon ko choo lay tu sharma jaati hai Gulaab uss k laboon say nazakaat udhaar laitay hain.. Chandini uss chahray pay utarti hai tu husan paati hai.. Mein uss ko aapni kull qayaanaat samajhta hoon.. Aur woh khud ko mujh mein gum sarab kehti hai.. |
|
#96
| |||||
| |||||
| ~**...Ik shakasta Khawb...**~ Woh ik shakasta khawb taira.. Chugta raha jo dana.. Khawahishoon kay khait say.. Bunta raha jo ganthain.. Mairay udhray wajood mein.. Kal amawas raat mein.. Kissi lamha e idraak kee.. Batoon mein aa gaya.. Laga kay punkh wahshaat kay.. Kum maigee k ufaq pay.. Visaal e yaar ko uraa tha.. Par saher honay say pehlay.. Kissi anjaan shahar mein.. Thak gaya tu utaar gaya hai.. Woh ik shakassta khawb taira.. |
|
#97
| |||||
| |||||
| ~**...Hijar...**~ Rung e Ishq kuch aur nikharta hai hijar mein Har sung, paris numa banta hai hijar mein Youn tu har koi hai davay daar e mohabbat Yeah raaz magar aisa jo khulta hai hijar mein Gar pahaar sa hosla bhee rakhata hoo koie Bun k khusbo ik din bikharta hai hijar mein Hum nay kabhi lout kay atay nahi daikha.. Talash e yaar ko jo nikal parta hai hijar mein Har shub ankhoon mein guzar jati hai tunha Har khawb chikna choor hota hai hijar mein ~Woh~ har aik say hans k baat karta hai.. Par chup k duniya say roota hai hijar mein Ajab haal insaan ka mouj e firaq karti hai Doob sakta hai na pa'ar utarta hai hijar mein Chatanoon ka seena cheer daita hai tu kabhi Kachay gharay pay chanab ute'rta hai hijar mein |
|
#98
| |||||
| |||||
| ~**...Ho faqa kashi naam jahan sabar o raza ka...**~ Ho faqa kashi naam jahan sabar o razaa ka.." Kaisay lay naam koee dastaar o qabaa ka.. Zuban bandi hukam hai ameer e shahar ka.. Daam ghutt gaya aaj ik faqeer ke sadaa ka.. Na'paaid hoay ahed e wafa, bik gaey aymaan.. Khawb howa khawb woh khusbo ka saaba ka.. Dashat mein basaa hon sarabon mein ghira hon.. Mohabbat ka silla yeah - hai paighaam hawa ka.. Kuch sokhee shakhon ko kat girana parta hai.. Maslaa jab aan para hoo shajar kee baqaa ka.. |
|
#99
| |||||
| |||||
| ~**...Ik Bay'wafa ke yaad mein...**~ Kissi ajnabi shehar mein hoon Karee dhoop hai jaoon jidhar kitnay saye nazar mein hai viraan magar dil ka nagar qufaal laga kay baitha hai koi aye nahi... koi jayee nahi... janay kis kay soog mein hai.. Woh jo khoo gaya tha.. Ik shaam mein Woh mah jabeen, woh dil ruba.. woh hum nafas, maira raaz daan gulaab chehra... baad e saba choor kay jo challa gaya Rahoon ko dhool mein choor k.. kissi aur angan jaa basaa maira bay khabar, woh gul badan jis nay kaha tha, ik shaam mein mairay hum nafas - mairay raazdaan maira jisam ho tum.. mujhay aurh lay.. panaah millay - mujhay thaam lay.. taras raha hoon ... khawb doo.. bikhar na jaoon - samait loo.. Aaj guzray howay uss shaam ko kitnay baras hain beet gaiye.. par aaj bhi har shaam dhalay.. hazaar chehroon ke bheer mein Ik shakhas tanha phirta hai..!! Kissi bay'wafa ke yaad mein..!! |
|
#100
| |||||
| |||||
| ~**... Aik Ghazal ...**~ Khoon say likha howa mairay maseeha ka Salam aya hai.. Mousam e Gul, Rung e Khizan say hum Qlam Aya hai.. Nung o Aflaas har taraf, Laho hova ghunchon ka rung.. Kee saba nay Aah! Tu uspay Nafarmani ka ilzam aya hai... Phaili boo barood ke shahar k har gali kochay mein jab Divanon mein howa jashaan aur ruqs mein jam aya hai.. Nara e Haq lagatay jo gaya tha faseel e shahar talak.. Laasha ussi kamsin kaa ghar mein sar e shaam aya hai.. Chup rahoo, Kuch na kahoo, Kamzoor ho sehtay rahoo.. Kat'tay kuch saron sung amir'e'shar ka ye payam aya hai.. |