~**...Sunoo...**~
..Sunoo..
..Bahaar aa rahi hai..
..Shaakh e gul jhuki jaa rahi hai...
..Raat chandini muskura rahi hai...
..Divaar dhay gaee thi jo aandhi mein..
..Aao ussay tameer kartay hain..
..Zakhmoon ko bhool jatay hain..
..Hathoon mein haath dal kay..
..Phir say muskuraatay hain..
..Pichlee saree batoon ko..
..Aaj say bhool jaatay hain..
..Sunoo...
..Bahaar aa rahi hai..
..Aao khushi kay geet gaatay hain..
..Baat ghaam ke chupaatay hain..
..Woh sapna jo sanjhay daikha tha..
..Jo toot kay ankh mein bikhra tha..
..Kirchiyaan Uss ke chuntay hain....
..Aik naya kahwb bun'tay hain..
..Hathoon mein haath dal kay..
..Phir say muskuraatay hain..
..Pichlee saree batoon ko..
..Aaj say bhool jaatay hain..
..Sunoo...
..Bahaar aa rahi hai..
..Lawn mein ugee narm ghaas pay..
..Pichlee shab say jami baraf koo..
..February ke iss sunahree subah mein..
..Mohabbat ke naraam dhoop mein..
..Pighal janay daitay hain..
..Guloon ko khilnay daitay hain..
..Hathoon mein haath dal kay..
..Phir say muskuraatay hain..
..Pichlee saree batoon ko..
..Aaj say bhool jaatay hain..
..Daikhoo...
..Bahaar aa gaiee hai..