~**...Ho faqa kashi naam jahan sabar o raza ka...**~
Ho faqa kashi naam jahan sabar o razaa ka.."
Kaisay lay naam koee dastaar o qabaa ka..
Zuban bandi hukam hai ameer e shahar ka..
Daam ghutt gaya aaj ik faqeer ke sadaa ka..
Na'paaid hoay ahed e wafa, bik gaey aymaan..
Khawb howa khawb woh khusbo ka saaba ka..
Dashat mein basaa hon sarabon mein ghira hon..
Mohabbat ka silla yeah - hai paighaam hawa ka..
Kuch sokhee shakhon ko kat girana parta hai..
Maslaa jab aan para hoo shajar kee baqaa ka..