~**... Woh Jab Aati Hai ...**~
Woh jab aati hai tu sha'haar mein bahaar laati hai..
Khushboo kay ruth pay hoo kay sawaar aati hai..
Rungat us ke aisee dhanak rung pheeka lagta hai..
Aoor haansay tu ik duniyaa sung muskaraati hai...
Hathoon mein para kungan nashay mein choor rehta hai
Kanoon ke baali galoon ko choo lay tu sharma jaati hai
Gulaab uss k laboon say nazakaat udhaar laitay hain..
Chandini uss chahray pay utarti hai tu husan paati hai..
Mein uss ko aapni kull qayaanaat samajhta hoon..
Aur woh khud ko mujh mein gum sarab kehti hai..