~**... Aik Ghazal - Ehsaas ...**~
Hoon saafar mein yaa qayaam hoo hoota taira ehsaas hai..
Zahan mein ik gullaab sa khillaa rehtaa tairaa ehsaas hai..
Sard hawa mein pighlay kabhi kari dhoop mein sanwar jaye..
Kabhi tunhai mein mairi ban k khawb utarta taira ahsas hai..
Har shab mairay angan mein chandini saa phail jata hai
Aur sahar hotay he souraj sa taloo hoota taira ahsaas hai..
Daiyaar e ghair ke surmayee udaas shamoon mein aksar..
Darya kinaray meeloon mairay sung chalta taira ahsaas hai..
Loug kehtay hain Basit khud say battain karta phirta hai..
Nahi woh daikh saktay mujhsay baatain karta taira ahsaas hai..