~**... Bay'samar Khawahishain ...**~
Bay samar khawahishoon k asar mein rehtay hain
Kuch loug hasratoon k bhanwar mein rehtay hain
Viraan rastoon pay tunhaa shaksta chand kay sung
Tamaam raat aap humaree nazar mein rehtay hain
Kitnay he kathin din guzar jayain pardais mein magar
Dais mein sab acha hai ke khabar mein rehtay hain
Aur loug hain jo ghabra kay soo jatay hain sar e sham
Hum Amawas raat mein bhi aas e sehar mein rehtay hain
Ishq ke manzil rahoon mein urtee dhool hoti hai..
Iss rah kay musafir dhoop kay ghar mein rehtay hain
Kaya samjhain gai dashaat ke musafat ka azaab
Yeah loug jo sada saaya e shajar mein rehtay hain
Basit nay tamaam umar sehra ke khaak chaani hai
Aab tu bhool gaya kis dhab shahar mein rehtay hain