~**... Aik Ghazal ...**~
Bay khawb ankhoon ko phir sarab dainay aaye hain..!!
Baan kay maseeha naya koi azaab dainay aaye hain..!!
Uthaay phirtay hain qutbay wafa kay mohabbat kay..!!
Magar sawaal e dil ka kitabee jawab dainay aaye hain..!!
Saajaa kay khud hee sab tamghay apnay seenay pay..!!
Ahsaan Faramooshi kay hum ko alqaab dainay aaye hain..!!
Kar kay qatal e anna, manaya jashan, kiya charaghaan..!!
Mar gaya mein tu dar'guzer ka nisaab dainay aaye hain..!!
Jalla dalaa ghar ka wohi goosha basta tha jiss mein mein..!!
Aab janay kis lehaad ka bullawa janab dainay aaye hain..!!