~**... Jo Millay Kabhi Dard ...**~
...Jo millay kabhi dard hum bay'chaa nahi kartay...
...Mar jaatay hain, khoon ko ar'zaan nahi kartay...
...Thookar khaa kay ussi raah pay jaya nahi kartay...
...Nazar say gir jaye jo seenay lagaya nahi kartay...
...Hijar ke aik saa'at bhi guzar paat'ti nahi tum say...
...Hum safar pay niklain tu loout ayaa nahi kartay...
...Tum koo tu khushboo e hina achee lagti hai...
...Hum Lahoo rung hatoon pay sajaya nahi kartay...
...Toot jaye kaanch ke choor tu dar jaatay hoo tum..
...Hum bay'riyaan pehan kay bhi ghabraya nahi kartay...
...Eid kay din ko youn barbaad karna kaya lazim thehra...
...Joo baat beet jaye ussay dohraaya nahi kartay...
...~Basit~ tum bhi sadda kay mas'kharay thehray...
...Gham ko apnay youn bazaar mein laya nahi kartay...