~**... Bay'Khawb Ankhoon Ko ...**~
...Bay'khawb Ankhoon ko Woh Saraab Dainay Aye hain...
...Ban Kay Maseeha Naya Ik Azaab Dainay Aye hain...
...Utha'ye phirtay hain kutbay wafa kay, mohabbat kay...
...Aur sawaal e dil ka kitaabi jawab dainay aye hain...
...Saja kay tamghay apnay khud he apnay seenay pay...
...Ehsaan Faramooshi ka hum ko alqab dainay aye hain...
...Kar kay Qatal e Wafa, Manaya Jashan, Kiya Charaghan...
...Marnay laga mein tu dar'guzar ka nisaab dainay aye hain...
...Jala Dala Ghar ka wohi goosha bastay thai jis mein hum...
...Ab janay kis Lehad ka Bulawa janab dainay aye hain...