~**... Mujhaye Howay Phooloon Ko ...**~
...Murjhaye howay pholoon ko khiltay nahi daikha...
...Khawboon ko Haqeeqat mein khiltay nahi daikha...
...Ik baar joo gaiye tu kabhi lout kay nahi aayee...
...Mouj e Ishq ko phir hum nay uthay nahi daikha...
..Jis ko lagay zakham wohee dard ko jaanay...
...Kissi ko kissi kay gham mein martay nahi daikha...
...Jalawatanoon say na poocho kis haal mein hain...
...Kaya kabhi mahee e bay aab ko taraptay nahi daikha...
...Tum kehtay hoo tu phir shaad hee hoo gaa...
...Hum nay tu kabhi Basit ko hanstay nahi daikha...