Mein Nay Sab Kuch Likha | | shair mairay kahaan thai kissi kay liyeah
mein nay sab kuch likha hai tumharay liyeah
apnay dukh sukh bohat khoobsourat rahay
hum jiyeah bhi tu ik dosray kay liyeah
humsafar nay maira saath choora naheen
apnay ansoo diyeah rastay kay liyeah
iss havaili mein ab koye rehtaa nahi
chand nikla kissay diakhnay kay liyeah
shehar mein aab maira koi dushman nahi
saab ko apna liya mein nay tairay liyeah
zehan mein titliyaan urr rahe hain bohat
koi dhaga nahi bandnay kay liyeah
aik tasveer ghazloon mein aaisee banee
aglay pichlay zamanay kay charay liyeah
__________________ Baray Udaas Din Hein.. Aur Soogwar Rattein... !! jazboon ka khuda jazba
mohabbat naam hai jis ka
kaya dhal lafzoon mein sakta hai ?
samandar kaya kabhi koi
koozay mein samaya hai? |