Asmaan Ke Khushboo | | chamak rahi hai paroon mein uraan ke khushboo
bula rahi hai bohat asmaan ke khushboo
bhatak rahi hai purani dalaiyaan oorhay
havaili mein mairay khandaan ke khushboo
suna kay koye kahani, humain sulaatee theen
dua'oon jaisee, baray pandaan ke khushboo
daba tha phool koyee maiz poosh kay neechay
garaj rahi thee bohat paychwan ke khushboo
ajab waqar tha sookhay sunehray baloon mein
udasiyoon ke chamak, zard lawn ke khushboo
woh itar dan sa lehja mairay buzurgon ka
rachi bashi hoi urdu zubaan ke khushboo
khuda ka shukar hai mairay jawan baitay kay
badan say aanay lagi hai za'fran ke khushboo
umartoon ke bulandi pay koi mousam kaya
kahan say aa gai kachay makaan ke khushboo
guloon pay likhti hoi La' illah il Lall Allah
pahariyoon say utartee azaan ke khushboo
__________________ Baray Udaas Din Hein.. Aur Soogwar Rattein... !! jazboon ka khuda jazba
mohabbat naam hai jis ka
kaya dhal lafzoon mein sakta hai ?
samandar kaya kabhi koi
koozay mein samaya hai? |