khoyaa khoyaa udaas saa hogaa | | khoyaa khoyaa udaas saa hogaa
tum se vo shaKhs jab milaa hogaa
qurb kaa zikr jab chalaa hogaa
daarmiyaa.N ko_ii faasalaa hogaa
ruuh se ruuh ho chukii bad_zan
jism se jism kab judaa hogaa
phir bulaayaa hai us ne Khat likh kar
saamane ko_ii masa'laa hogaa
ghar me.n sab log so rahe honge
phuul aa.Ngan me.n jal chukaa hogaa
kal kii baate.n karoge jab logo
Khauf saa dil me.n ruu_numaa hogaa |