It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on word of the week "MunziL" within the Bait Bazi forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; I love this one: manzil pe pounch kar bhi use khona paRe gaa yeh t'ae hai tu phir shoq-e-safar kiyoN ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [1] |
|
#21
| |||||
| |||||
| I love this one: manzil pe pounch kar bhi use khona paRe gaa yeh t'ae hai tu phir shoq-e-safar kiyoN naheiN jaata
__________________ meree shaahiree se mujhe jaan lo keh yeh aaeena hai meri zaat kaa ![]() (Zahida Raees :Raji: ) |
|
#23
| |||||
| |||||
| door hai manzil raahaiN mushkil aalam hai tanha_ii ka aaj mujhe ehsaas hua hai apni shikastaapa_ii ka
__________________ Dili dar siina daaram bii saruuri na sozi dar kaf.e.Khaakam na nuuri bagiir az man k bar man baar dosh ast sawaab.e.iiN namaaz bii hazuuri I q b a l |
|
#24
| |||||
| |||||
| Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya, Woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya, Kuch din to mera aks raha aaine pe naqsh, Phir youn huwa ke khud mera chehra badal gaya.. Jab apnay apnay haal pay hum tum na reh sakay, To kiya huwa jo hum say zamana badal gaya, Qadmon talay jo rait bichhi thi woh chal pari, Us nay chhuraya haath to sehra badal gaya.. Koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi, Jaatay hi aik shakhs kay, kiya kiya badal gaya, Ek sarkhushi ki moj nay kaisa kiya kamal, Wo bay-niaaz saara ka saara badal gaya.. Uth kar chala gaya koi waqfay kay darmiaan, Parda utha to saara tamasha badal gaya, Hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay, Baaton main apni baat ko kaisay badal gaya.. Kehne ko ik sehan main deewar hi bani, Ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya, Shayad wafa kay khel se uktaa gaya tha woh, Manzil kay paas aake jo rusta badal gaya.. Qayem kisi bhi haal pay dunya nahin rahi, Taabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya, Manzar ka rang asal main saaya tha rang ka, Jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya.. Andar kay mosamon ki khabar us ko ho gayee, Us no-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya, Aankhon mein jitna ashk thay jugnoo say ban gaye, Woh muskuraya or meri dunya badal gaya.. Apni gali main apna hi ghar dhoondhtay hain log, Muneeb~ ye kon se sheher ka naqsha badal gaya..
__________________ Aansu jo beh rahey hein inhein behne do Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehne do Bohoot bewafa ho tum, yeh hum ko hai maloom Tum apni wafa ki baat, apne tak hi rehney do! |
|
#25
| |||||
| |||||
| hmmmm ik song yaad aaya hye sirf manzilein apni jagah hein rastey apni jagah jab qadam he sath na dein to musafir kiya karey ......... yon to hey humdard beh or humsafar bhe hey mera barh k koi hath na dey dill bhala phir kiya karey dobney waley ko tinkey ka sahara hee bohat dil behal jay faqt. itna isharah he bohat itney per bhe aasman wala giradey bijliyan barh k koi hath na dey ,,dobta phir kiya karey ..... |
|
#27
| |||||
| |||||
| Quote:
|
|
#28
| |||||
| |||||
| Aye Jazba-e-Dil gar Main Chaahoo'n , Har Cheez Muqaabil Aa jaye Manzil ke Liye Do Gaam Chaloo'n Aur Saamney Manzil Aa Jaye @};- Aye Dil ki Khalish Chal Youn hi Sahi , Chalta to hoo'n Unn ki mehfil mein Uss Waqt Mujhey Chonka dena Jab Rang pe Mehfil Aa Jaye @};- Aawaz mujhey Tum De Lena , Haan Yadd Mujhey Tum Kar Lena Iss Raah-e-Mohabbat mein koi DarPaish jo mUshkil Aa jaye @};- @};- @};- PS. iss waqt iss se zada yaad nahi aa rahi /thinking |
|
#29
| |||||
| |||||
| Thanks *Moon *Corona* Na the jinko fikre-manzil unhe raas aaye manzil, woh kadam kadam bhatake jo chale bahut sambhal ke. @};- Kisi ko ghar se nikalte he miil gaye manzil, koi hamari tarah umar bhar safar mein raha. |