It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on word of the week...........Dard within the Bait Bazi forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Dard barhta raha...aur phir ek din La dawa ho gaya dekhtay dekhtay Ibtida tha woh....meray junoon ki Inteha ho gaya...dekhtay ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [7] |
|
#131
| |||||
| |||||
| Dard barhta raha...aur phir ek din La dawa ho gaya dekhtay dekhtay Ibtida tha woh....meray junoon ki Inteha ho gaya...dekhtay dekhtay
__________________ ![]() |
|
#132
| |||||
| |||||
| YEH SHAUQ E DIL KA DAAWA HAY Mohabbat hi na ho gar ho tou phir woh inteha ki ho Jo doori ho tou DARD hijr main............. ..mernay ko do dil Jo pas aa'ain tou yoon keh sansain dhoondna ho mushkil Kabhi batoon main bhi bay aetibari ka..........shuba na ho Yaqeen e ishq main jam e tassawur.......bay nasha na ho Kabhi Izhar e shiddat ulfat e dil...... .....kay samay aa'ain Tou aankhain woh kahain keh lafz..... bhi hairan reh ja'ain Qaba kholain dayar e yar ka ...............manza r ubharta ho Pas e jam e nigah ki kokh main........... darya machalta ho Junoon ho tou junoon aisa keh......... dunya dung rah ja'ay Pas e mahboob ka'enat bhi ..................ba y rung rah ja'ay Kahan titli kahan jugnu, sitaray kya nazaray kya Chalain tou jungloon dasht main.......... baazar e janan ho Rukain tou masti e bay haush main........ dil dard khana ho Shikayat ho tou koi tanz ka............... teekha nishan na ho Anokha tanz ho tou tanz main.......... meetha guman na ho Shararat ho tou koi na............. malamat kay anasar houn Hikayat ho tou bhi................ samjhnay say na qasir houn Suno janan yeh mera.............. inteha ka shauq kahta hay Yeh meri khawahishoon main ...raqs farma zauq kahta hay Bhala yeh kaun kahta hay................ mohabbat zuroori ho Mera tou ek daawa hay................. qarabat ho ya doori ho Bhalay koi taaluq ho ..................ta aluq main latafat ho Adawat na adhoori ho .................... .inayat ho tou puri ho Yeh aadhi rah main atki ...............saza na bud duaa ki ho Mohabbat hi na ho gar ho........... tou phir woh inteha ki ho |
|
#133
| |||||
| |||||
| Yeh hamee hain keh tera dard chupa kar dil main Kam dunya kay badastoor.........ki yay jatay hain |
|
#134
| |||||
| |||||
| Teray ihsas ko..........zanjeer bhi kar saktay thay Soch lay hum tujhay taskheer bhi kar saktay thay Yeh alag baat keh.....bus dil main chupa'ay rakha Qissa e dard ki.......tash'heer bhi kar saktay thay |
|
#135
| |||||
| |||||
| Khamosh lehje meray hamdam kabhi bola nahin kartay Dard e ghum ko her kisi kay samnay khola nahin kartay Mohabbat tou mohabbat hay.........badi anmol hoti hay Mohabbat ko tarazu main.........kabhi tola nahin kartay Meray khamosh rahnay per...........koi ilzam mut dena Samandar tou samandar hain...kabhi bola nahin kartay |
|
#136
| |||||
| |||||
| Na Dard-e-gham na shikayat na eztarab-e-junoon Mohabbatein thein magar koi yaadgar na thi (Shakil Badayuni)
__________________ talatseer |
|
#137
| |||||
| |||||
| na to terey dard rukey kaheeN na merey zakhm bharey kabhi sabar-o-shukar ki haalateiN na tujhey mileiN na mujhey mileiN |
|
#138
| |||||
| |||||
| Khulta kisi pe Q mere dil ka Mua'amla Sheero k intikhaab ne ruswa kiya mujhe
__________________ ![]() |
|
#139
| |||||
| |||||
| Hazaar zakhm sahi phir bhi muskurana hai Ke dil kaa Dard bhi aakhir hamein chupanaa hai (Mehmood Gaznavi) |