It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Topic of the Week: Yaad within the Bait Bazi forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Un khush kun raahaton kay pal jo humnay bitaya saath thay... Humaina abhi bhi yaad hay per tum unhain yaad ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#35
| |||||
| |||||
| aayi thi yaad teri is dil mein kal raat sahemi sahemi thi tujh bin meri kal raat.... kal raat tuney shayad mujhe yaad kiya hoga tere dil ki dharkan paayi thi maine kal raat... pukaarta hi raha tumhein pyar se mein tadap tadap kar kal raat tum to aa na saki tumhari mohabbat loot gayi mera dil kal raat... gar aa jaye zindgi mein phir se kal raat tujhe mohabbat karte kho jayenge phir se kal raat... gar hai zindgi to pyar tujhe karte rahenge mar kar bhi kar na paaye hum, tujhse mohabbat karte rahenge....!! -------------------~ * ~-------------------- Yaad main teri jaag jaag kay hum ... Raat bhar karwatain badaltay hain ..... Kya kahain dil main teri ulfat kay Dheemay Dheemay chiraagh jaltay hain Abb DIL kai Afsanay ko Baya'n Kertay hein Anso0... Abb Hum se Teray Ghum ki Hifazat nahi Hoti!!.... Tasawur main jab woh atey hein Aik dard naya dey jatey hein Kuch bhooli bisiri yaadein hein Jinhein taza kerney a jaatey hein Qurbat key lamhey guzarey theay kabhi Doori ka ahsas dilataye hein Kuch qoal qara huyee the kabhi Jo dil ko chuu jatey hein Bhoolney ki inhein ab khwahish hey Woh reh reh ker yaad atey hein |
|
#36
| |||||
| |||||
| woh jo ham mein tum mein qaraar thaa, tumhain yaad ho keh na yaad ho wohi waada yaani nibaah ka, tumhain yaad ho keh na yaad ho woh jo lutf mujh pay thaa paishtar, woh karam keh thaa meray haal per mujhay sab hai yaad zara zara, tumhain yaad ho keh na yaad ho woh na'ay gillay, woh shikaayat'ain, woh mazay mazay kee hikaayat'ain woh her ik baat pay rooth'naa, tumhain yaad ho keh na yaad ho koi baat aisee agar hoee keh tumhaary jee ko buraa laga to bayaan say pehlay hee bolna, tumhain yaad ho keh na yaad ho kabhi ham mein tum mein bhi chaah thee, kabhi ham mein tum mein bhi raah thee kabhi ham bhi tum bhi thay aashnaa, tumhain yaad ho keh na yaad ho woh bigarnaa vasll kee raat ka, woh naa maan'naa kisi baat ka woh nahi nahi kee her aan sadaa, tumhain yaad ho keh na yaad ho jissay aap gintay thay aashnaa, jissay aap kehtay thay baa'wafaa mein wohi hoan MOMIN-e-mubtilaa, tumhain yaad ho keh na yaad ho |
|
#38
| |||||
| |||||
| Woh Aksar Apnay Kaam Main Magan... Baithay Baithay Mujhay Sochnay Lagta Hai... Woh Sari Baatain Yaad Aati Hain Us Ko... Woh Subhain , Woh Shamain... Wohi Zindagi Ki Musafatain... Jinhain Gin Gin Kay Guzara Kartay Thay... Phir Jab... Haqeeqaton Main Wapis Lout-Ta Hai... To Muskura Daita Hai... Aur Sar Jhatak Kay Kehta Hai... PaGLi!!!!!!! |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| topic, week, yaad |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| msg/sms | imaan85 | Gup Shup | 302 | 07-23-2008 07:39 AM |
| kuch log bohat yaad ate hain | \*-*!*-*PaRiArEeBa*-*!*-*/ | Ghazal | 33 | 07-10-2008 12:41 PM |
| Hurf-e-Duaa Yaad Nahi | Mahk | Ghazal | 12 | 07-08-2008 06:08 AM |
| ~!! Kuch lOg bOhet Yaad Aatay hAin !!~ | ~ HijR ~ | Ghazal | 15 | 05-27-2008 03:39 PM |
| mujhay tum yaad atay ho........... | rainbow2 | Nazam | 13 | 10-13-2007 03:54 PM |