It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~^*Poet Of The Month..... Asraar ul Haq 'Majaz'*^~ within the Bait Bazi forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Aslaam Alaikum sathiyoo.... umeed wasiq hai ke aap tamam sathi bohot achay honge... aur ba khairiyat karobar'e zindagi main masroof ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [1] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Aslaam Alaikum sathiyoo.... ![]() umeed wasiq hai ke aap tamam sathi bohot achay honge... aur ba khairiyat karobar'e zindagi main masroof bhi... ... is bar apke liye aik mash'hoor'o maroof shair Asraar ul Haq "Majaz" ko le kar hazir hui hoon... Majaz apka takhallus tha... ap 1909 main Rudauli jo ke Barabanki ki district main ata hai UP ki...wahan paida huye...ibtedaii taleem Lucknow main hasil karnay ke baad alaa taleem ke liye Agra aur Aligarh University main dakhla lia... apko Urdu shairi ka John Keats bhi kaha jata hai... apko aik masoom, romanvi, inqelabi aur apne madaar se hata hua shair bhi kaha gaya hai... magar in tamam main aap ki shairi pe romanviyat ka ghalba nazar ataa hai... Faiz apko mughanni'e inqelaab kehte hain... aap aik intehaii hissass dil rakhnay walay waqaey huye... jazb'e nazar shakhsiyat aur aik adaad muhabbat bharey dil ne apki zindagi ko dukh'o indooh main dhakeel diyaa... apni tamam zindagi muhabbat main jiye aur muhabbat ko harf'e akhir man kar is fani dunya se December 6, 1955 ko kooch kar gaye....Ye meri duniya, ye meri hasti Nagmataraazi, sehba'parasti Unkaa karam hai, Unkii mohabbat Kya merey nagmey, Kya meri hasti apke 3 majmuaa'e kalaam manzar'e aam pe aaye... Aahang, Shab'e taar, Saaz'e nau....Aahang barhaa publish hua.....aur ahista ahista apki dosri kutub ka kalaam bhi us main shamil hota gyaa...@};- apki mash'hoor'e zamanaa nazm "Aawaraa" se aghaaz kar rahi hoon........umeed hai is silsilay main aap sathi Majaz ka behtareen kalaam parheinge....share karein ge.....aur lutf andooz honge...@};- @};- aawaraa @};- Shahar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroon Jagmagati jaagti sarko peh aawara phrioon Ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phiroon Ay gham-e-dil kya karoon, ay wahshat-e-dil kya karoon Jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si Raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si Maire seene par magar chalati hui shamsheer si Ay gham-e-dil kya karoon ay wahshat-e-dil kya karoon Yeh roophali chhaon yeh aakash par taaron ka jaal Jaise soofi ka tasavvur jaise aashique ka khayaal Aah lekin kaun jaane kaun samjhe jee ka haal Ay gham-e-dil kya karoon, ay wahshat-e-dil kya karoon Raat hans hans kar yeh kahati hai keh maikhane mein chal Phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane mein chal Yeh nahin mumkin to phir ai dost veerane mein chal Ay gham-e-dil kya karoon, ay wahshat-e-dil kya karoon Har taraf hai bikhari hui, Ranginiyaan, raanaiyaan Har qadam par isharaten leti hui angraiyaan Barh rahi hai god phailai hue ruswaian Ay gham-e-dil kya karoon, ay wahshat-e-dil kya karoon Raste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahin Laut kar vaapas chala jaaoon, meri fitrat nahin Aur koi hamnawa mil jai yeh qismat nahin Ay gham-e-dil kya karoon, ay wahshat-e-dil kya karoon Ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab Jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab Jaise muflis ki jawani jaise bewah ka shabaab Ay gham-e-dil kya karoon, ay wahshat-e-dil kya karoon Muflisi aur yeh mazahir hain nazar ke samane Saikaron Changez-O-Naadir hain nazar ke samane Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne Ay gham-e-dil kya karoon, ay wahshat-e-dil kya karoon Barh ke is indarsabha ka saz-o-saman phoonk doon Is ka gulshan phoonk doon us ka shabistan phoonk doon Takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan Phoonk doon Ay gham-e-dil kya kaoon, ay wahshat-e-dil kya karoon. [1937]
__________________ ![]() |
|
#2
| |||||
| |||||
| wah wah zabardast/good1
__________________ The purpose of life is not to be happy. It is to be useful, to be honorable, to be compassionate, to have it make some difference that you have lived and lived well. |
|
#3
| |||||
| |||||
| Ye meri duniya, ye meri hasti Nagmataraazi, sehba'parasti ...wah ...bohat khoob ....@};-
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#4
| |||||
| |||||
| Shukria Iman aur hasil'e zeest... lagta hai humaey dosrey sthiyoon ko ya to shair pasand nahi aye.....ya phir kisi ne unka khobsoorat kalam nahi parha hua /aw2 ...well..... aub hum share kiye dete hian... aap parh ke lutf andooz hoeye... ![]() nazm ka unwaan hai... "unn ka jashn-e-saalgirah" ik majma-e-rangeeN meN wo ghabraayi hui si baithi hai ajab naaz se sharmaayi hui si aankhoN meN haya lab pe hansi aayi hui si honToN pe fida rooh-e-bahaar-e-gul-o-nasreeN aankhoN ki chamak rukash-e-bazm mah parveeN pairahan-e-zar taar meN ik paikar-e-seemeeN lahreN si wo leta hua ik phool ka sahra sahre meN jhamakta hua ik chaand sa chehra ik rang sa, rukH pe kabhi halka kabhi gahra har saans meN ahsaas-e-faraadaaN ki kahaani kHaamoshi-e-mahboob meN ik seel-e-ma'ani jazbaat ke toofaan meN hai dosheeza jawaanni fitrat naye jazbaat ke dar khol rahi hai meezan-e-jawaani meN usse tol rahi hai lab saakat-o-saamat haiN nazar bol rahi hai sarshaar nigaahoN meN haya jhoom rahi hai haiN raqs meN aflaak zameeN ghoom rahi hai shaayar ki wafa baRh ke qadam choom rahi hai ai too ke tere dam see meri zamzama kHwaani ho tujh ko mubaarak ye teri noor jahaani ifkaar se mahfooz rahe teri jawaani chhalke teri aankhoN se sharaab aur zyaada mahkeN tere aariz ke gulaab aur zyaada allah kare zor-e-shabaab aur zyaada |
|
#5
| |||||
| |||||
| Ghazal sara alaam goosh ber awaaz hai aaj kin hathoon mian dil ka saz hai haan zara jur'aat dikha ay jazb dil husn ko perde pe apnay naaz hai hans diye woh mayre ronay per magar un ke hans dene main bhi ik raz hai chuhp gaye woh saaz hasti cheer ker aub to bas awaaz hi awaaz hai sarii mehfil jis pe jhoom uthi "Majaz" woh to awaaz shikast saaz hai |
|
#6
| |||||
| |||||
| @};- "Aitraaf" @};- ab mere paas tum aayee ho to kia aayee ho? main ne maana ke tum ik paikar-e-raanaai ho chaman-e-dehr mein rooH-e-chaman aaraaii ho tal'at-e-mehr ho, firdaus ki barnaaii ho bint-e-mahtaab ho gardooN se utar aayee ho mujh se milney mein ab andesha-e-ruswaai hai maine khud apney kiye ki ye sazaa paaii hai khaak mein aah milaaii hai jawaani main ne sholaa zaaroN mein jalaai hai javaani main ne shehr-e-khoobaaN mein ganvaai hai javaani main ne khwaab gaahon mein ganvaaii hai javaani main ne Husn ne jab bhi inaayat ki nazar daali hai mere paimaan-e-mohabbat ne sipar daali hai un dinoN mujh pe qayaamat ka junooN taari tha sar pe sarshari-o-ishrat ka junooN taari tha maah paaron se mohabbat ka junooN taari tha shehriaaroN se raqaabat ka junooN taari tha bistar-e-makhmal-o-sanjaab thi dunya meri aik rangeen-o-Haseen khwaab thi dunya meri kia suno gi miree majrooH javaani ki pukaar meri faryaad-e-jigar doz miraa naala-e-zaar shiddat-e-karb mein doobi hui meri guftaar main ke khud apney mazaaq-e-tarab aageeN ka shikaar wo gudaaz-e-dil-e-marHoom kahaan se laaun ab main wo jazba-e-maasoom kahaan se laaun ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ ~~~~~~~~~~~ aisi khobsoorat nazmoon ko parhnay ka lutf us waqt hi ata hai jab ap tamam lafzon ko samajhte hoon.....iteefaq se mujhey net pe yeh nazm mil gai aur mushkil lafzon ke maini ke sath... .blushy paikar = chehra , soorat, (face, portrait). e.g. pari-paikar =fairy faced raanaai = beauty, khoobsurati, Husn, khush.numaai paikar-e-raanaaii = bahot ziaada khoobsurat chaman = baagh dehr = dunya chaman-e-dehr = dunya ka baagh, muraad hai dunya chaman aaraaii = gardening, baaghbaani karna rooh-e-chaman aaraaii = dunya ke baagh aur gulshan mein jitni bahaar hai wo sab tumhaari wajah se hai tal'at = nazaara, appearance, aspect mehr = dosti, mohabbat, rehmat tal'at-e-mehr = dosti aur mohabbat ka nazaara ho, rehmat ki soorat ho firdaus = jannat barnaai = javaani bint =beTi mahtaab = chaand gardooN = aasmaan, sky andesha = doubt, khatra, fikr ruswaai = badnaami andesha-e-ruswaai = badnaami ka Dar khaak = maTTi sholaa zaar = jahaan aag jalti ho shehr-e-khoobaan = khoobsurat logoN ka shehr, murad hai haseenoN ka shehr khwaab gaah = soney ka kamra inaayat = mehrbaani, lutf, favour, support paimaan = promise, stipulation, waada, ehd paimaan-e-mohabbat = mohabbat ka waada sipar = dhaal, hifaazat, shield junoon = paagal.pan sarshaari = madhoshi, masti, intoxicated, ishrat = khushi, happiness maah.paaroN = chaand ke tukRey ko maah.para kehtey hain, yahaan muraad hai khoobsurat log shehriaar = baadshaah raqaabat = mukhaalifat makhmal = velvet sanjaab = aik jaanvar ki khaal jis se coat aur doosrey malboos bantey hain majrooh = zakhmi jigar doz = dard.angez, jigar chalni karne waali shiddat-e-karb = bahot ziaada dard aur takleef mazaaq = zauq, saleeqa, tareeqa tarab-aageeN = bahot ziaada khushiaaN mazaaq-e-tarab aageeN = bahot ziada khushiaaN manaatey rehna |
|
#7
| |||||
| |||||
| Khud dil meN rah ke aaNkh se parda kare koi haaN lutf jab hai paake bhi DhooNDhaa kare koi tum ne to hukm-e-tark-e-tamannaa sunaa diyaa kis dil se aah tark-e-tamannaa kare koi duniyaa laraz gai dil-e-hirmaaN_naseeb ki is tarha saaz-e-aish na chheRaa kare koi mujh ko ye aarazoo vo uThaayeN naqaab Khud un ko ye intazaar taqaazaa kare koi rangini-e-naqaab meN Gham ho gai nazar kia be-hijaabiyoN ka taqaazaa kare koi yaa to kisii ko jurrat-e-deedaar hi na ho yaa phir miri nigaah se dekhaa kare koi hoti hai is meN husn ki tauheen ai 'Majaz' itanaa na ahl-e-ishq ko rusavaa kare koi |
|
#8
| |||||
|