It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~*^Poet of the month.... Akhtar Sheerani^*~ within the Bait Bazi forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Asalaam Alaikum... kaise hain saab yahan ?? umeed hai ke bohot achay hongay.......[bilkul mayri terha :blush ].. hum is bar ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Asalaam Alaikum... kaise hain saab yahan ?? umeed hai ke bohot achay hongay.......[bilkul mayri terha :blush ].. hum is bar Poet of the month main Akhtar Sheerani ka kalaam share karein ge.... umeed hai ap sab sathi bhi humara sath dein ge.....aur inka bohot acha acha kalaam parhnay ko milay ga... @};- unki aik mash'hoor'e zamanaa nazm ... jo mayri bohot fav hai...hazir'e khidmaat hai... @};- @};- ai ishq hame.n barbaad na kar @};- ai ishq na chhe.D aa aa ke hame.n ham bhuule huo.n ko yaad na kar pahale hii bahut naashad hai.n ham tuu aur hame.n naashaad na kar qismat kaa sitam hii kam nahii.n kuchh ye taazaa sitam ijaad na kar yuu.N zulm na kar bedaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar jis din se mile hai.n dono.n kaa sab chain gayaa aaraam gayaa cheharo.n se bahaar-e-subah ga_ii aa.Nkho.n se faroG-e-shaam gayaa haatho.n se Khushii kaa jaam chhuuTaa ho.nTho.n se ha.Nsii kaa naam gayaa GamGii.n na banaa naashaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar raato.n ko uTh uTh rote hai.n ro ro kar duaaye.n karate hai.n aa.Nkho.n me.n tasavvur dil me.n Khalish sar dhunate hai.n aahe.n bharate hai.n ai ishq ye kaisaa rog lagaa jiite hai.n na zaalim marate hai.n ye zulm to ai jallaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar ye rog lagaa hai jab se hame.n ranjiidaa huu.N mai.n biimaar hai vo har vaqt tapish har vaqt Khalish be-Khvaab huu.N mai.n bedaar ha vo jiine se idhar bezaar huu.N mai.n maranbe pe udhar tayyaar hai vo aur zabt kahe fariyaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar bedard zaraa insaaf to kar is umr me.n aur maGmuum hai vo phuulo.n kii tarah naazuk hai abhii taaro.n kii tarah masuum hai vo ye husn sitam ye ranj Gazab majabuur huu.N mai.n mazaluum hai vo mazaluum pe yuu.N bedaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar ai ishq Khudaaraa dekh kahii.n vo shoKh hasii.n badanaam na ho vo maah-e-laqaa badanaam na ho vo zohraa-jabii.n badanaam na ho naamuus kaa us ko paas rahe vo pardaa-nashii.n badanaam na ho us pardaa-nashii.n ko yaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar ummiid kii jhuuThii jannat ke rah rah ke na dikhalaa Khvaab hame.n aa_iindaa ke farzii ishrat ke vaade se na kar betaab hame.n kahataa hai zamaanaa jis ko Khushii aatii hai nazar kaamayaab hame.n chho.D aisii Khushii ko yaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar do din hii me.n ahad-e-tifalii ke maasuum zamaane bhuul gaye aa.Nkho.n se vo Khushiyaa.N miT sii ga_ii.n lab ke vo taraane bhuul gaye un paak bahishtii Khvaabo.n ke dilchasp fasaane bhuul gaye un Khvaabo.n se yuu.N aazaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar aa.Nkho.n ko ye kyaa aazaar huaa har jazb-e-nihaa.N par ro denaa aahang-e-tarab pe jhuk jaanaa aavaaz-e-fuGaa.N par ro denaa barbat kii sadaa par ro denaa mutrib ke bayaa.N par ro denaa ehasaas ko Gam buniyaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar jii chaahataa hai ik duusare ko yuu.N aaTh pahar ham kare.n aa.Nkho.n me.n basaaye.n Khvaabo.n ko aur dil ko Khayaal aabaad kare.n Khilvat me.n bhii jo jalvat kaa saamaa.N vahadat ko du_ii se shaad kare.n ye aarazuue.n ijaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar vo raaz hai ye Gam aah jise paa jaaye ko_ii to Khair nahii.n aa.Nkho.n se jab aa.Nsuu bahate hai.n aa jaaye ko_ii to Khair nahii.n zaalim hai ye duniyaa dil ko yahaa.N bhaa jaaye ko_ii Khair nahii.n hai zulm magar fariyaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar duniyaa kaa tamaashaa dekh liyaa GamGii.n sii hai betaab sii hai ummiid yahaa.N ik vaham sii hai taskiin yahaa.N ik Khvaab sii hai duniyaa me.n Khushii kaa naam nahii.n duniyaa me.n Khushii nayaab sii hai duniyaa me.n Khushii ko yaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar
__________________ ![]() Last edited by Diya; 10-16-2004 at 09:39 AM. |
|
#2
| |||||
| |||||
| SALLAM ji bohat hi achi sharing ki hai aaina ji@};- meri taraf se bhi aik ghazal paish e khidmat hai muhabbat ki duniya main mashhoor ker doon mere sada dill tujh ko maghroor ker doon tere dill ko milne ki khud aarzuu ho tujhe isqadar gham se ranjoor ker doon MUJHE ZINDAGI DOOR REKHTI HAI TUM SE JO TUU PAAS HO TO IISE DOOR KER DOON muhabbat ke iqqraar se sharm kab tak kabhi saamna ho to majboor ker doon yeh be rangiyaan kab tak , aye huusn raangeen idher aaa , tujhe ishaq main choor ker doon tuu gar saamne ho to main bekhudi main sitaaroon ko sajde pe majboor ker doon seya khaana gham hai saaki , zamana bas ikk jaam aur noor hi noor ker doon nahi zindagi ko wafa warna AKHTAR muhabbat se duniya ko maamoor ker doon hmmmmmm/khikhi ji sab khush rehiye ameen suma ameen ALLAH HAFIZ
__________________ ![]() Last edited by CHAAND_AUR_BAADAL; 10-01-2004 at 09:43 AM. |
|
#3
| |||||
| |||||
| bauhat khoob ji /rose aap donon nai bauhat hi acha kalaam share kiya hai ![]() khush rahain donon ![]()
__________________ |
|
#4
| |||||
| |||||
| Quote:
@};- @};- @};-
__________________ Ek Aah Bhari Ho Ghi Hum Ne Na Suni Ho Ghi Jate Jate Tum Ne Awaaz Tu Di Ho Ghi ![]() Sukh Da Koi Saa Na Avey...? |
|
#5
| |||||
| |||||
| Waah Asshi buhat hi aachi hai sharing![]() Aa ishq humhein barbaad na kar ![]() mein bhi karti hon aa ker kuch ![]()
__________________ ![]() |
|
#6
| |||||
| |||||
| Akhter Sheerani ![]() yeh me ki fav ghazal hai ![]()
__________________ ![]() |
|
#7
| |||||
| |||||
| pasand karnay ka bohot shukria dostoo.... ![]() Chaand aur Badal.....Ankaboot.. .apne bohot hi achi sharing ki... shukriaa @};-
__________________ ![]() |
|
#8
| |||||
| |||||
| Quote:
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#9
| |||||
| |||||
| Akhtar Sheerani hmmm inka name main nai nahi suna pahlay inki shairi nahi pahri main naikabhi per aap logo nai jo share kia bohat acha hai khush rahian @};-
__________________ ميں سچے رب كے رستے ميں سو بار لڑوں اور جاں دے دوں پهر لوٹ كے دنيا ميں آوں پهر جام شهادت نوش كروں |
|
#10
| |||||
| |||||
| Aaina jee yeh guzaal main ni sunye hoi hai bht khoobsorat guzaal hai.. mager is ke poet ki bare main hum nahi jante hain.. mager yahan jo aap loogon ni share kya hai woo bht acha hai .. |