It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Amjad Islam Amjad Poet of the month. within the Bait Bazi forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; waaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaah bohaaaaaaaaaaaaaaaaa aaat hi khuuuuuuuuuuuuuuuuuu uuuuub aik to maheena august ka hai ooper se u have chooosed one of ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#21
| |||||
| |||||
| waaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaah bohaaaaaaaaaaaaaaaaa aaat hi khuuuuuuuuuuuuuuuuuu uuuuub aik to maheena august ka hai ooper se u have chooosed one of the best poet "AMJAD ISALAM AMJAD" kamal hai jiiiiiiiiiiiiiiiiiii iiiiiiiiiiiiiiiiiiii iiiiiii bohaaaaaaaaaaaaaaaat khuuuub so here it goes my first post dedicated to "AMJAD ISALAM AMAJD" sahib /yhug /yhug /yhug /yhug /yhug /yhug /yhug /yhug /yhug /yhug /yhug
__________________ ![]() |
|
#22
| |||||
| |||||
| Quote:
Bohat he great poet ka intahaab kiya ha app ne. jald he kuch post karoon ge mein be ![]() |
|
#25
| |||||
| |||||
| bohot hi umdaah shair ka intekhaab kia hai is bar Ansa..... @};- here is my sharing with u all...... @};-
__________________ ![]() |
|
#26
| |||||
| |||||
| ~ mujhey apna sitara dhoondna hai~ sitara dhoondna hai sitaroon se bharey us asmaan ki vs'aaton main mujey apna sitara dhondna hai falak per kehkashan dar kehkashan ki be'karani hai na is ka naam hai maloom, na koi nishani hai bas itna yaad hai mujh ko azal ki subha jab sarey sitaray alvidaii guftagu karte huye rastoon pe niklay they to uski ankh main ik tara jhilmilaya tha usi taray ki sorat ka mayri bheegi bheegi ankhoon main bhi ik khawab rehta hai main apne ansoun main, apne khawaboon ko sajata hon aur us ki raah takta hoon suna hai gumshuda cheezain jahan per khoii jati hain waheen se mil bhi jati hain mujhey apna sitara dhondna hai Amjad Islam Amjad @};-
__________________ ![]() |
|
#27
| |||||
| |||||
| agar kabhi mayri yaad aye to chand taroon ki narm deel'geer roshni main kisi sitarey ko dekh lena agar woh naql'e falak se gir kar tumharey qadmoon main aa girey yeh jaan lenaa, woh iste'aara tha mayre dil ka. agar na aaye... magar yeh mumkin hi kis terha hai ke tum kisi pe nigah daloo to uski deewar'e jaan na toote woh apni hasti na bhol jaye guraiz karti hui hawa ki lehroon pe hath rakhna main khushboon main tumhain miloonga mujhey gulaboon ki pattiyon main talash karna main oos qatroon main, aainoon main tumhain milon ga agar sitaroon main, oos qatroon main, khushboun main, na paoo mujh ko to apne qadmoon main dekh lenaa main gard hoti masafaton main tumhain miloon ga kaheen pe roshan charaagh dekhoo to jaan lena ke her patange ke sath main bhi bikhar chuka hoon tum apne hathon se un patangoon ki raakh darya main daal dena main khaak ban ke samandaroon main safar karoonga kisi na dekheye huye jazeere pe ruk ke tum ko sadayein doonga samandaroon ke safar pe nikloo to us jazeerey pe bhi utarna Amjad Islam Amjad @};-
__________________ ![]() |
|
#28
| |||||
| |||||
| kisi khush nigah si ankh ne yeh kamal mujh pe karam kiya mayri loh'e jaan pe raqam kiya woh jo ik chand sa harf tha, woh jo ik sham sa naam tha woh jo phool si bat phirti thi dar'ba dar usay gulistaan ka pata diya mayra dil ik shehr'e malaal tha, usay roshni main basaa diya mayri ankh aur mayre khwab ko kisi ik pal main baham kiya mayre aainoon pe jo gard thi maah'o sal ki woh utar gai woh jo dhund thi chahar so woh bikhar gai sabhi roop aks'e jamal ke sabhi khawab sham'e visal ke jo ghubaar waqt mian sar'basar they aTey huye woh chamaak uthey woh jo phool raah ki dhool they mehek uthey liye saat rang bahaar ke chalaa main jo sang bahaar ke to sajaa diye sabhi raste kisi dast'e shoubda baaz ne mayre naam per, mayre waaste mayrii be'ghairii ko panah di, mayri justaju ko nishaan diya jo yaqeen se bhi haseen hai, mujehy ik aisaa gumaan diya woh jo reeza reeza wajood tha usay ik nazar main baham kiya kisi khush nigaah si ankh ne yeh kamaal mujh pe karam kiya Amjad Islam Amjad @};-
__________________ ![]() |
|
#29
| |||||
| |||||
| Quote:
mein bohat dinoo se yeh talash karing but not milling abb mil gae hai ;) thanx 4 sharing ![]()
__________________ ![]() |
|
#30
| |||||
| |||||
| /weldone bauhat hi khubsurat intikhaab share kiya hai sab nai ![]()
__________________ |