<center>utareen ajeeb rooshniyaan raat khawb mein
kaya kaya na akss tair rahay thai saraab mein
Kab say hain ek harf pey nazrain jameen hoiyeen
Vo parh raha hoon jo nahi likhaa kitaab mein..
Phir tairgee ke khawb se chaunka hai raasta
phir rooshni see door gai hai sahaab mein..
Paani nahi kay apnay he chahray ko daikh loon
Manzar Zameen ke dhoondta hoon maahtaab mein
Kab tak rahegaa rooh pay pairhaan e badan
Kaab tak havaa aseer rahay gi hubaab mein
Jeenay kay saath mout kaa dar hai laga howa..
Khushki dikhayee dee hai samandar ko khawb mein Ek Yaad Hai Kay Cheen Rahi Hai Laboon Say Jaam
Ek Aks Hai kay Kaanp Raha Hai sarab Mein</center> |