<!--QuoteBegin-Basit+Jul 24 2003, 03:10 PM--></div><table border='0' align='center' width='95%' cellpadding='3' cellspacing='1'><tr> <td>QUOTE (Basit @ Jul 24 2003, 03:10 PM)</td></tr><tr><td id='QUOTE'><!--QuoteEBegin--> <!--QuoteBegin-Taqdir Ka Fasana+Jul 24 2003, 05:48 AM--></div><table border='0' align='center' width='95%' cellpadding='3' cellspacing='1'><tr> <td>QUOTE (Taqdir Ka Fasana @ Jul 24 2003, 05:48 AM)</td></tr><tr><td id='QUOTE'><!--QuoteEBegin--> <center>
ksi ibteda or intehaa ... kay darmiyaan hay zindagi ..
jahan eis taraf na ous taraf .. door tak kahin kuch nahi ...
jaisay door kahin ksi reh guzar .. kay beech o beech koi ajnabi ...
dhool main khoo kay rastoon ko ... hichkiyoon say roo paray ...
jisay reh guzar ki garam rait ... or asmaan ko chor kar ...
nazar ki tamam wusatoon main aur kuch na mil sakay ...
dhoop ki tamazatoun ki intehaa ki woh sar zameen ...
jahan hasratoon kay beej say faqat " SARAAB " hi khil sakay
ous ajnabi ki pyaas kia .. umeed kia or yaas kia ...
bajuz ajal ka intezaar ... aur bacha hai ous kay paas kya !
eis ibteda or intehaa kay darmiyaan to main bhi hoon ..
eis ibtedaa or inteha kay darmiyaan tou tu bhi hai ..
jaisay door khain jangaloon main .. rail ki dou patriyaan ..
jo qurbatoun ki anginat raat o din kay bawajood...
eik hath bhar kay faslay say .. rah guzar main bat gaeen ...
Aah ! kay mil baithnay ki woh shabnami si hasratain ..
jo zaviyoon ki hair phiar ki ganjalon main phans gaeen ..
ein intehaoon kay darmiyaan ki sitam zareefi daikhiyay ...
jo chandni say khowaab thay woh rastoon main kho diyay ..
jo siskiyoon kay azaab thay .. woh zindagi ko day diyay ... ! </center> [/b][/quote]
I must admit I dont have words to express my feeling for this beautiful poem... yeah poem.. pehli baaar parhi mein nay... aik baar parhi .. tu ajeeb see feeling hoi.. soocha shaid.. kay waisay hee woh aik hooti hai na halat e dil. .tu shaid uss ka asar hai kay kuch ziada hee zoor laga kay lagi hai.. tu banta dhayaan.. phir aa kay parhi.. jo is akhri kuch lines hain.. 3 lines infact.. waisay tu har line he iss ke bohat khoubsouart hai.. do hisoon mein bati hoi.. do hisoon mein bant'ti hoi.. wajhain batati hoi.. bayaan kari hoi halat e dill.. bohat umdaah nazam hai.. kuch kehnay ko nahi hai... buss yeahi kay.. iss qadar dil say likhi hoi nazam parhai aap nay.. hum tah e dil say shukar guzar hain.. @};- [/b][/quote]
mujhay pata tha apko bohot pasand aey gi @};- .... or ap kay bolnay kay bad khud main nay bhi parhi hai wapis .... woh aesa kuch sun nay kay baad eik naey zaviyay say cheez nazar ati hai na ... kuch aesa hi samjhiyay .... tah e dil say say mashkoor to main bhi hoon ............ @};- |