View Single Post
  #52  
Old 07-24-2003, 08:15 PM
NainTara's Avatar
NainTara
Guest
 
Posts: n/a

Tutorials:

Default

<!--QuoteBegin-hasil-e-zeest+Jul 25 2003, 12:11 AM--></div><table border='0' align='center' width='95%' cellpadding='3' cellspacing='1'><tr> <td>QUOTE (hasil-e-zeest @ Jul 25 2003, 12:11 AM)</td></tr><tr><td id='QUOTE'><!--QuoteEBegin--> <center>
~tujh bin zaat adhoori hai~

tumhari aas kay gamlo'n main rakhay phool murjhanay lagay hain
judaaye dhoop lagti hai bohat hi taiz chubti si
december june lagta hai
kissi kay naam ki ghanti bajay mujhay tumhara phone lagta hai
tumharay laut aanay tak na janay kis qadar lambi udaasi
aankh kay bistar main chup kar raat likhay gi
na janay kis qadar sapno'n ko day gi bayghari ka dukh
abhi to phir bhi baqi hai koi sapna
tumharay lams kay zinda warq par
tumhari khusboo'ain zinda hai pholo'n kay badan main
magar aisa na ho khushboo'ain baychahragi pahnain
kahin aisa na ho kay phool jal jain kissi sapnay kay bhujtay hi
tumhara lams mar jaye
gulabo'n kay badan main zang lag jaye
kahin aisa na ho jana'n!!
ana ki surkh tahni par koi talwaaar ug aaye
kahin aisa na ho kay soch ki khirki main koi weham aa baithay
main is takmeel kay aadhay safar main hi na mar jaa'on
yeh mousam jo adhoora hai, adhoora hi na rah jaye
abhi to aankh ki mashal mujhay rusta dikhati hai
abhi to aaina chahra dikhata hai
"sarab" hi sahi jana'a yeh rusta pair kay neechay abhi to aas likhta hai
abhi hai waqt muthi main
agarchay rait ki manind phislta ja raha hai par
tumharay laut aanay tak samnbhalon ka koi lamha
yeh sara waqt girnay
meray haatho'n say bahnay say
zara aik lamha pahlay tak..... agar tum laut aao to
agar tum laut aao to meri takmeel ho jaye </center>
[/b][/quote]
achi nazm hai
Reply With Quote