View Single Post
  #26  
Old 07-24-2003, 07:34 AM
Taqdir Ka Fasana's Avatar
Taqdir Ka Fasana Taqdir Ka Fasana is offline
...Nazuk Aabgeena...
 
Join Date: Jul 2003
Location: Saraab e Dasht ...
Age: 6
Posts: 425

Country:

Tutorials: 0

Thanks: 0
Thanked 7 Times in 7 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 335
Taqdir Ka Fasana has much to be proud ofTaqdir Ka Fasana has much to be proud ofTaqdir Ka Fasana has much to be proud ofTaqdir Ka Fasana has much to be proud ofTaqdir Ka Fasana has much to be proud ofTaqdir Ka Fasana has much to be proud ofTaqdir Ka Fasana has much to be proud ofTaqdir Ka Fasana has much to be proud ofTaqdir Ka Fasana has much to be proud ofTaqdir Ka Fasana has much to be proud of
Default

<center>


Kaha nahi tha woh shehar e aasaib hai ... tum ous ki taraf na jaou ..

wahan yeh ruhoon ko barf jismoon main ...

dafan karnay ki rasam sardiyoon say chal rahi hai ...

wahan pay ankhain hanuut kar kay bhi loog sarkoun pay ghoomtay hain ..

wahan to sinoon main patharon kay hain dil muqeed...

jo dharkanoon say hain aisay aari ...

bina haqeeqat "Saraab" jaisay ...

baigher khushbu gulaab jaisay ...

Kaha nahi tha woh shehar e aasaib hai ... tum ous ki taraf na jaou ..

wahan tou khowaboun ka khoon kar kay bhi loog neendoun say khayltay hain...

wahan to jazboun ki fasal paknay ki dair hai bas ...

kharay kharay hi zamana eiska kharaaj mangay ...

wahan ka aa'ien hai azal say .. koi bhi jazba mohabatoon ka pinp na paey...

tum aaj zakhmoonk ay eis khazane ko ..

apnay hathoon ki thaliyoon main .. sajaey hairaat zada say kyon ho ??

tumahri ankhoon ki putliyoon main likha hoa yeh azaab kyon hai ??

gehen zada sa.. mohabatoun ka bataou yeh aaftab kyon hai ?? ...

yehi to tum say kaha tha Janan !

woh shehar e aasaib hai ... tum ous ki taraf na jaou ..


</center>
Reply With Quote