<center>
ksi ibteda or intehaa ... kay darmiyaan hay zindagi ..
jahan eis taraf na ous taraf .. door tak kahin kuch nahi ...
jaisay door kahin ksi reh guzar .. kay beech o beech koi ajnabi ...
dhool main khoo kay rastoon ko ... hichkiyoon say roo paray ...
jisay reh guzar ki garam rait ... or asmaan ko chor kar ...
nazar ki tamam wusatoon main aur kuch na mil sakay ...
dhoop ki tamazatoun ki intehaa ki woh sar zameen ...
jahan hasratoon kay beej say faqat " SARAAB " hi khil sakay
ous ajnabi ki pyaas kia .. umeed kia or yaas kia ...
bajuz ajal ka intezaar ... aur bacha hai ous kay paas kya !
eis ibteda or intehaa kay darmiyaan to main bhi hoon ..
eis ibtedaa or inteha kay darmiyaan tou tu bhi hai ..
jaisay door khain jangaloon main .. rail ki dou patriyaan ..
jo qurbatoun ki anginat raat o din kay bawajood...
eik hath bhar kay faslay say .. rah guzar main bat gaeen ...
Aah ! kay mil baithnay ki woh shabnami si hasratain ..
jo zaviyoon ki hair phiar ki ganjalon main phans gaeen ..
ein intehaoon kay darmiyaan ki sitam zareefi daikhiyay ...
jo chandni say khowaab thay woh rastoon main kho diyay ..
jo siskiyoon kay azaab thay .. woh zindagi ko day diyay ... ! </center> |