Dasht-e-Tanhaye mein..Aay jaan e jahaN lerzaaN hain...
Tairy Aawaaz k saaye...tairay HontoN k "Saraab"...
Dasht e tanhaye mein doory k kas o khaak talay..
Khil rahay haiN ..tairay pehlu k saman or gulaab..
Uth rahi hai kaheeN qurbat say...tery saNs ki Aanch..
Apni khushbu mein sulagty hoi.. madham.. madham..
door..ufaq paar...chamankty hoi qatra qatra...
gir rahi hai..tery dildaar nazar ki shabnam..
Is qader pyar say...aay Jaan e JahaN..rekha hai..
Dil k rukhsaar peh ..is waqt tery yaad nay haat
YooN gumaN hota hai..ger cheh hai abhi subh e furaaq..
dhal gaya hijr ka din..aa bhi gaye...wasl ki raat.. |