<center>
bisaat-e-shoq smait loon khood hi
kay tera tarz-e-taghafil mujhay gawara nahin
yeh roz roz ki jhuk jhuk yeh sa'ie-e-raaigaa'n
yeh baybasi yeh nahaq jisaarat-e-mizgaa'n
yeh woh safar hai kay manzil koi na jiski ho
meray "sarab" bata mujh ko kia kiya jaye
yeh unkaha sa paimaan-e-ulfat-e-pinhaa'n
wafa jo ho na sakay gar to kia kiya jaye</center> |