Re: Topic of the week - Udaasi | | || Aaj Bhi Shaam Udaas Rahi ||
Aaj bhi tapti dhoop ka sehra
Teray narm labon ki shabnam
teri bikhree bikhree zulf kay
saey say --- mehroom raha
Aaj bhi pathar hijr ka Lamha
Sadiyon say bay khwab ruton ki
Aankon ka maqsoom raha
Aaj bhi apnay wasal ka tara
Raakh urati --- shokh shafak ki
Manzil say --- maadoom raha
Aaj bhi shehar may pagal dil ko
teri deed ki aas rahi
Mudat ki gumm summ tanhai
Aaj bhi meray paas rahi
Aaj bhi shaam udaas rahi
__________________ Ager Muhabbat Pe Bharosa Rahe Na Dunya Main To Koi Shakhs Muhabbat Ka Hosla Na Karay Suna Hay Us Ko Muhabbat Dua'in Daiti Hai Jo Dil Pe Chot To Khaye Magar Gila Na Kare |