zabardast!!!!!!!!!!! !!!bohat hee achi poetry parhnay ko milli
ab kuch humari taraf se!
~chehray per meray zulf ko phailaao kisi din
kiya roz garajtay ho,baras jaao kisi din
raazon kee tarah utro meray dil main kisi shab
dastak per meray haath kee khul joa kisi din
pairron kee tarah husn kee barish main naha loon
badal kee tarah jhoom ke ghar aao kisi din
khushboo kee tarah guzro meray dil kee galli se
phooloon kee tarah mujh peh bikhar jaao kisi din
phir haath kee khairaat milay band quba ko
phir lutf shab wisl ko dehraao kisi din
guzrain jo meray ghar se tau ruk jayen sitaray
iss tarah meri raat ko chamkaao kisi din
main apni her aik saans usee raat ko day doon
sir rakh keh meray seenay per so jaao kisi din~ |