Aankhein meri aankhein khamoush kiun nahin rehtein
woh sab batein kiun bol jati hain
tum sey
jo main kehna nahin chahti hoon
meri aankhein tumhein bata deti hain
lekin!
shayed tum aankhoun ki boli nahin samjhtey
ya shayed
tamaam batoun ko tum un suni kar detey ho
meri aankhein bhi kitni bholi hain
jo !
ik pathar sey batein karti hain |