Teray Rukhsaaar Ki Haya Chahoon
Itni Sada si main Ada chahhoon
Nuqsh kur loon tujh ko ankhoon main
is qadar tujh ko daikhna chahoon
wuqf kuray youn dil ko meray liya
tujh say bhi aisi hi wafa chahoon
thuk jaoon agar zamanay say
teri chahut ka asra chahoon
aa kisi rung main rung doon tujh ko
Main teray haath ki hina chahoon
tujh ko chonay lagain sansain meri
tujh ko choti hoi saba chahoon |