Re: Topic of the Week: Yaad | | karo gaye yaad tu har baat yaad aye gi
guzarte waqt ki har moj thehar jaye gi
yeh chand beete zamanoo ka aaina ho ga
bhataktey abr mein chehra koi bana ho ga
udass raah koi dastan sunaye gi
kero gaye yaad tu har baat yaad aye gi
barasta beeghta musam dhuwan dhuwan ho ga
pighalti shamon pe dil ka mere gumaan ho ga
hateehliyon ki hina yaad kuch dilaye gi
kero gaye yaad tu har baat yaad aye gi
GALI K moor pe sona sa koi darwaza
tarasti ankhon se rasta kisi ka deekhe ga
kero gaye yaad tu...
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |