vafaa ke shiish mahal mein sajaa liyaa main ne
vo ek dil jise patthar banaa liyaa main ne
ye soch kar ki na ho taak me.n Khushii koii
Gamon ki oTt mein Khud ko chhupaa liyaa main ne
kabhii na Khatm kiyaa main ne roshanii kaa muhaaz
agar chiraaG bujhaa, dil jalaa liyaa main ne
kamaal ye hai ki jo dushman pe chalaanaa thaa
vo tiir apane kaleje pe khaa liyaa main ne
'Qateel' jisakii adaavat men ek pyaar bhii thaa
us aadamii ko gale se lagaa liyaa main ne