Re: Non Stop Bait Bazi | | Utha kay haath Khuda say bas maangi yahi dua
naseeb hon khushiyaan tumhain tum khush raho sada
tumhain rahat milay , tumhain chahat milay
tumhain saray jahan ki muhabbat milay
jahan main sab say hon achay tumharay naseeb
koi dukh kabhi bhi na aaye qareeb
tumharay dil ki har aarzoo poori Khuda karay
tumharay chahnay walon ko kabhi na juda karay
mil jayen tum ko meray bhi naseeb ki khushiyan
Dua hay bas tumhain kabhi gham na milay yahan
__________________ Aansu jo beh rahey hein inhein behne do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehne do
Bohoot bewafa ho tum, yeh hum ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apne tak hi rehney do! |