Har Ik Fard Khaibar Shikan Ho Hamara
Khudaya ! Hamein Fatah-o-Nusrat Ata Kar
Jahan-e-Musalmaa'n ko Wus'at Ata Kar
.
Hai Phir Sidq-e-Sab'r-o-raza ki Zaroorat
Hamein Sir Faroshi ki Aadat Ata Kar
.
Har Ik Fard KHaibar Shikan ho Hamara
Jawaanoo'n ko Haider ki Qoowat Ata Kar
.
Chataanoo'n se Takraayein terey fidaayi
Sumandar ko cheerein wo Jurrat Ata kar
.
Sadaaqat ka PArcham rahey Jagmagaata
Fazaaoo'n se Khailein wo Fitrat Ataa Kar
.
Meri Bheegi Palkoo'n ki Faryaad Sun le
Merey Gulsitaa'n ko Lataafat Ata Kar
.
Meri Arz Sun le Kamli Waley ka Sadqa
Tujehy Sabz Gunbad ke Haaley ka Sadqa