Ek bey-rang saa manzar hai jahaan tak souchoon
Zindagee teray baarey mein kahaan tak souchoon
Phhainkney waaley ney bari door sey pathher phhainkey
Aur mein sirf parousi kay makaa'n tak souchoon
Teraa chehraa bhi na <span style='color:red'>ya ad aaey ke tuu kaisaa hai
Mein tujhey souch kay reh jaaon jahaan tak souchoon
Loug jiss mour pey ghabraa kay bichher jaatey hein
Tujh sey milney ka yaqee'n hoo tou wahaan tak souchoon...</span> Qaisar-ul-Jaafri |