~*~* 14th Of August *~*~ | |
Assalam-u-Alaikum Friendz!
Jaisa kay aap sab ko pata hai kay 14 August aa rahi hai.. yeh Din na sirf Pakistaniyon kay liye balkay dunya kay tamam musalmano kay liye Ehmiyat rakhta hai.
Shair-o-Shairi main main yeh topic iss liye shoro kar rahi hon ta kay sab log yahan per watan say mutaliq Nazam/ Ghazals share karain...
sab say pehlay main share karti hon.....
<span style='color:green'>
Khuda Karay Kay Mairi Arz-E-Paak Per Utray
Woh Fasl-E-Gul Jisay Andaisha-E-Zawal Na Ho
Yahan Jo Phool Khilay, Woh Khila Rahay Sadiyon
Yahan Khizan Ko Guzarnay Ki Bhi Majal Na Ho
Yahan Jo Sabza Ugay, Woh Hamesha Sabz Rahay
Aur Aisa Sabz Kay Jis Ki Koi Misaal Na Ho
Ghani Ghataain Yahan Aisi Baarishain Barsain
Kay Patharon Say Bhi Roo'eedgi Mahaal Na Ho
Khuda Karay Kay Kham Na Ho Sar-E-Waqar-E-Watan
Aur Iss Kay Husn Ko Tashweesh-E-Maah-O-Saal Na Ho
Har Aik Fard Ho Tehzeeb-O-Fun Ka Auj-E-Kamaal
Koi Malool Na Ho Koi Khasta Haal Na Ho
Khuda Karay Kay Mairay Ik Bhi Hamwatan Kay Liye
Hayat Jurm Na Ho Zindagi Wabal Na Ho
Khuda Karay Kay Mairi Arz-E-Paak Per Utray
Woh Fasl-E-Gul Jisay Andaisha-E-Zawal Na Ho </span> |