Re: Amjad Islam Amjad Poet of the month. | |
agar kabhi mayri yaad aye
to chand taroon ki narm deel'geer roshni main
kisi sitarey ko dekh lena
agar woh naql'e falak se gir kar tumharey qadmoon main aa girey
yeh jaan lenaa, woh iste'aara tha mayre dil ka.
agar na aaye...
magar yeh mumkin hi kis terha hai ke tum kisi pe nigah daloo
to uski deewar'e jaan na toote
woh apni hasti na bhol jaye
guraiz karti hui hawa ki lehroon pe hath rakhna
main khushboon main tumhain miloonga
mujhey gulaboon ki pattiyon main talash karna
main oos qatroon main, aainoon main tumhain milon ga
agar sitaroon main, oos qatroon main, khushboun main, na paoo mujh ko
to apne qadmoon main dekh lenaa
main gard hoti masafaton main tumhain miloon ga
kaheen pe roshan charaagh dekhoo to jaan lena
ke her patange ke sath main bhi bikhar chuka hoon
tum apne hathon se un patangoon ki raakh darya main daal dena
main khaak ban ke samandaroon main safar karoonga
kisi na dekheye huye jazeere pe ruk ke tum ko sadayein doonga
samandaroon ke safar pe nikloo to us jazeerey pe bhi utarna
Amjad Islam Amjad @};- |