
07-11-2004, 06:09 AM
|
 | Duniya Hairat Kadah | | | Join Date: Apr 2003 Location: HG Short Island Age: 24
Posts: 4,408
Country: Tutorials:
0 Thanks: 0
Thanked 19 Times in 19 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 570 | |
Re: ...Topic of the week "Shakhs"... | |
Bana gulaab too kantay chuba gaya aik shakhs
Hua chiraagh to ghar hi jala gaya aik shakhs
Tammam rang meray aur saray khuwab meray
Fasana kah kay fasana bana gaya aik shakhs
Main kis hawa main udoon kis fiza main lahraon
Dukhoon kay jaal her jaga bicha gaya aik shakhs
Palat sakoon main na agay barh sakooon jis per
Mujhay yah kaun say rastay laga gaya aik shakhs
Mohabbatin bhi ajeeb uss ki nafratain bhi kamal
Meri tarah ka mujh main saama gay aaik shakhs
Woo mahtab tha mahram ba dast ayya tha
Magar kuch aur siva dil dukha gaya aik shakhs
Khula yah raaz kay aina khana hai duniya
Aur uss main mujh ko tamasha bana gaya aik shakhs
|