Re: ...Topic of the week "Shakhs"... | | wa/sallam hmmmmmmm boaht acha topic hai meri tarf se aik ghazal dost ban ker bhi nahi saath nibhane wala wohi andaaz hai zaalim ka zamane wala wo jo ikk SHAKHS hai munh phair ke jaane wala tere hote howe aa jati thi saari duniya ajj tanha hoon to koi nahi aane wala muntazir kis ka hoon tooti howi dehleez pe main konn aaye ga yehan , kon hai aaane wala kia khabar thi jo meri jaan main ghula hai ittna hai wohi mujjh ko sar e daar bhi laane wala main ne dekha hai behaaroon main chaman ko jalte hai koi khawaab ki tabeer batane wala tum takaloof ko bhi ikhlaas samajhte ho faraz dost hota nahi her haath millane wala hmmmmmmmmmmm/khikhi ALLAH HAFIZ |