Yaad nahii.n kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gaye
Yaad nahi-n kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhool gaye
Us kii galiyo-n se jab laute apana bhe ghar bhool gaye
Khoob gaye pardes ki apane divaar-o-dar bhool gaye
Sheesh-mahal ne aisa gheraa mitti ke ghar bhool gaye
Tujh ko bhe jab apani qasame-n apane vaade yaad nahi-n
Ham bhe apane Khvaab teri aa-Nkho-n me-n rakh kar bhool gaye
Mujh ko ji-nho-ne qatl kiya hai koi u-nhe-n batalaaye "Nazeer"
Meri laash ke pahaluu me-n vo apana Khanjar bhool gaye