<!--QuoteBegin-Adeel+Jul 28 2003, 01:28 PM--></div><table border='0' align='center' width='95%' cellpadding='3' cellspacing='1'><tr> <td>QUOTE (Adeel @ Jul 28 2003, 01:28 PM)</td></tr><tr><td id='QUOTE'><!--QuoteEBegin--> <center>tum meri aankh ke tevar na bhulaa paaoge
unkahi baat ko samajho ge to yaad aaon ga
ham ne Khushiyoon ki tarah dukh bhi ikatthe dekhe
safaah-e-zeest ko palato ge to yaad aaon ga
issi andaaz mein hote the muKhaatib mujh se
Khat kisi aur ko likhoge to yaad aaon ga
sard raatoon ke mahakate hue sannaaToon mein
jab kisi phool ko choomo ge to yaad aaon ga
ab tere ashk main hoontoon se churaa letaa hoon
haath se Khud inhein poncho ge to yaad aaon ga
shaal pahanaaye gaa ab kaun disambar mein tumhein
baarishoon mein kabhi bhiigo ge to yaad aaon ga
aaj tum mahafil-e-yaaraan pe ho magharoor bahut
jab kabhi TooT ke bikharo ge to yaad aaon ga
haadase aayenge jeevan mein to tum hoke nidhaal
kisi diivaar ko thaamoge to yaad aaon ga </center> [/b][/quote]
/weldone Wasi Shah :p |