<center>
mein bhoole jaa'oan tumhain ab yehi munaasib hai
magar bhulaana bhi chaahoan to kis tarha bhool'oan
keh tum to phir bhi haqeeqat ho koi khwaab nahi
yehan to dil ka yeh aalam hai kia kahoan, kambakhtt!
bhulaa saka na yeh woh silsilaa jo thaa hee nahi
woh ik khayaal jo awaaz tak gaya hee nahi
woh ik baat jo mein keh nahi saka tum say
woh aik raabtaa jo ham mein kabhi rahaa hee nahi
mujhay hai yaad woh sab jo kabhi hoaa hee nahi
agar yeh haal hai dil ka to koi samjhaa'ay
tumhain bhulaana bhi chaahoan to kis tarha bhool'oan
keh tum to phir bhi haqeeqat ho koi khwaab nahi!!!
</center> |