subah ro ro ke shaam hotii hai
shab tarap kar tamaam hotii hai
saamane chashm-e-mast ke saaqii
kis ko parvaah-e-jaam hotii hai
koi Gunchaa khilaa ke bul-bul ko
bekalii zar-e-daam hotii hai
ham jo kahate hai.n kuchh ishaaro.n se
ye Khataa laa-kalaam hotii hai